Search Here ...

Showing posts with label Banking. Show all posts
Showing posts with label Banking. Show all posts

SBI Whatsapp Banking Services Registration

State bank of india ke SBI Whatsapp Banking Services Registration kaise karte hain.agar aap sbi account holder hain toa yeh post aapke liye helpful ho sakte hai kyunki  ish post me hum aaapko sbi whatsapp services ki full information de rahe hain.

SBI Whatsapp Banking Services Registration

SBI WhatsApp Banking Registration

state bank of india ke customers ke liye whatsapp banking ki facility sbi ki taraf se offer ki gyi hai.whatsapp banking services se sbi ke millions customers ko fayda mileaga.

SBI Whatsapp Banking Services

state bank of india service activate karke customers apna bank account balance,mini statement,check kar sakte hai.whatsapp banking activate karne ke baad customers apne sbi account se jude bahot sare kaam mobile phone par hi kar sakte hain.aiye aapko batate hain ke sbi whatsapp banking registration karke use kaise karte hai.

SBI WhatsApp Banking Registration Kaise Kare

Note : Whatsapp banking chalu karne ke liye aapke sbi bank account ke sath aapka mobile number link hona jaroori hai.

WhatsApp Status Download

Step 1 : State bank of india ke account ko whatsapp banking services ke sath register karne ke liye sabse pahle apne mobile ke massage box me niche diya massage ko type kare.

WAREG Account Number

EXAMPLE - WAREG 12345678901

Step 2 : Massage type karne ke baad (+91 7208933148) number par send kar de.

Step 3 : Massage successfully send hone ke baad aapko bank ki taraf ek registration ka confirmation massage receive hoga.

WhatsApp se Gas Booking


Step 4 : Aub apne mobile phone me whatsapp app open kare.

Step 5 : Whatsapp app me (+91 9022690226) number save karke chat open kare aur Hi type karke send kare.

Step 6 : Aub aapke pass 'Dear Customer,  Welcome to SBI WhatsApp Banking services!' massage ayega.aapke samne 3 options show honge.

No.1 : Account Balance

No 2 : Mini Statement

No 3 : De-register from WhatsApp Banking

Step 7 : Aub aap 3 options me se koi bhi 1 select kare.

Bank account balance check karne ke 1 type karke send kare.

Mini statement check karne ke liye 2 type karke send kare.

Service De-Register karne ke liye 3 type karke send kare.

Electricity Bill on WhatsApp

Abhi sbi whatsapp banking me kam option available hain but ho sakta hai ke kuch time ke baad ishme aur options ko add kar diya jaye.i hope yeh post aapke liye jaroor helpful rahi hogi.post ko apne friends ke sath share kare.Thankyou.

Post Office Schemes | post office saving account interest rate | post office RD interest rate

Post office saving account latest interest rate.post office recurring deposit interest rate.post office term deposit interest rate.post office fixed deposit interest rate and benefits.agar aap bhi post office me investment karne ki soch rahe hai toa aapko post office ki in sari schemes ke interest rates ki jankari honi chahiye.

Post office saving account interest rate.post office RD and FD interest rate 2020.post office term deposit interest rate in hindi.

Post Office Saving Scheme


jayada log aaj bhi apni income me se bachaye huye paise ko post office ki saving scheme me lagana pasand karte hai.koi post office fixed deposit (FD) me paisa investment karta hai.koi post office recurring deposit (RD) karna pasand karta hai.post office term deposit me bhi aapko acha return milta hai.

Post office saving account bank saving account ki tarah hi hota hai.bus ishme ek chota sa fark yeh hota hai ke aap post office me ek hi saving account open kar sakte hai.lekin ishke kuch fayde bhi hai.jsise post office saving account ke paise par tds nahi kata jata.aur yeh 80c ke tahat tax free bhi hota hai.

● LIC link to bank account

Post Office Interest Rates


Time to time government post office ki schemes par interest rate update karti rahti hai.ish baar bhi government ne post office saving schemes par 1 July ko 3 month ke new interest rates lagoo kiye hai.jinke bare me aap niche dekh sakte hai.

● PM Jan Dhan Yojana Account Online

Post Office RD Interest Rate


Post office me 5years ki RD par agle 3 month tak 5.8% ka interest rate milega.

Post Office Saving Account Interest Rate


Post office saving account par agle 3 month 4% ka interest rate milega.

Post Office Term Deposit Interest Rate


Post office term deposit par 1 se 3years ke liye 5.5% interest rate milega.

Post office term deposit 5years ke liye 6.7% interest rate milega.

Post Office FD Benefit


● FD ke fayde

Post office 5years ke fixed deposit me investment par income tax exemption 1961 par 80c ke tshat tax me choot milegi.

Post office saving scheme par new interest rates ki jankari details se janne ke liye aap yeh video watch kare.


I hope friend aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

jan dhan account kaise khole online || pm jan dhan yojana 2020

pm jan dhan account online kaise khole.how to open jan dhan account online.pm jan dhan yojana 2020.jan dhan yojana account online ya offline kaise open kare.agar aap jan dhan yojana ka khata open karne ke bare me search kar rahe hai,toa aap bilkul right post read kar rahe hai,kyunki hum aapko ish post me step by step batane bale hai ke aap apna pmjdy account open kaise kara sakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

PMJDY.pm jan dhan yojana account online kaise khole aur kya documents ki jaroorat hogi.jan dhan yojana account online

PM JAN DHAN YOJANA KYA HAI

jan dhan yojana ki starting 15 august 2014 ko pardhan mantri narendra modi ke dawara ki gyi thi. prime minister jan dhan yojana ki short form (PMJDY) hai.pm jan dhan yojana ka maksad india ke garib aur pichade areas me rahne bale peoples ko banking system ke sath connect karna tha.pm modi ka maksad tha ke india ke bho log bhi bank me apana account open karaye jinka pahle koi bank account nahi hai.

JAN DHAN ACCOUNT OPEN KAISE KARE

jan dhan yojana 2020 me account open karane ke aapke pass 2 tarike hai.first offline jishme aapko sab kuch bank me jakar karna hoga.
second online jish se aapko jan dhan account open karane me help milegi.
hum aapko step by step dono tarike niche bata rahe hai.

JAN DHAN YOJANA ACCOUNT OFFLINE APPLY

Step 1 : PM jan dhan account offline apply karne ke liye sabse pahle aapko apne najdiki ush bank me jana hoga jishme aap jan dhan account open karana chahte hai.

● Arogya setu app full information
● Aadhaar card lock and unlock kaise kare

Step 2 : Bank jakar staff member se new jan dhan account opening form mangna hoga.

Step 3 : Form me mangi gyi aapki sari jankari sahi-sahi bhar de.

Step 4 : Form bharne ke baad aapko niche bataye gye documents ko form ke sath attach karke jama karana hoga.

Jan Dhan Scheme 2020 Documents

NOTE : Bank staff se jan dhan ke form ki hi demand kare,dushara account open karayenge toa aapko jan dhan bali facility nahi milegi.

JAN DHAN ACCOUNT YOJANA ONLINE APPLY


jan dhan yojana account online kaise khole.pm jan dhan account form download
PMJDY

Step 5 : PM jan dhan account online open karane ke liye sabse pahle aapko form download karna hoga.

● LIC premium calculator
● Electricity bill download from WhatsApp

Jan dhan account form download karne ke liye yahan par click kare = PMJDY

Step 6 : Aub aapke samne ek website open hogi.niche left side me aapko ek option dikhai dega (Account Opening Form - Hindi / Account Opening Form - English)
Inme se aap jish language ka form download karna chahte hai ushpar tab kare.

Step 7 : Form download hone ke baad ishka print nikal le.

● Aadhaar card Reprint online
● Cancelled cheque kya hai
● Check lpg gas subsidy

Step 8 : Aub aap ish form me puchi gyi sari jankari sahi-sahi bhar de,aur upar bataye gye documents attach karke jish bank me account open karana chahte hai ush bank me jama kara de.kuch din me aapka pm jan dhan yojna ka account open kar diya jayega.
Toa friends ish tarah se aap jan dhan yojana ka account open kara sakte hai.i hope aapko yeh jankari jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp,Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.


FD Ke 5 Fayde | 5 Benefits of fixed deposit in hindi

FD kya hai aur fd kaise karte hai yeh toa aap ache se jante honge,magar fixed deposit karne ke fayde kya hai sayad aap yeh nahi jante honge agar nahi jante toa chaliye aaj hum aapko batate hai fd ke 5 fayde,puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

5 big benefits of fixed deposit in hindi.post office and bank fd karane ke 5 sabse bade fayde

Fixed Deposit

Aaaj ke time me psisa kamana jitna muskil hai ush se jayda muskil hai ush paise ko safe rakhna.yehi bajah hai ke log paise ane ke baad ushe asi jagah invesrt karne ki fikkar me lag jate hai jahan koi risk na ho aur unhe unke paise ka kuch interest bhi mil jaye.agar aap bhi ishi paresani se gujar rahe est bhi mil jaye.agar aap bhi ishi paresani se gujar rahe hai toa aapke liye sabse best option FD yani fixed deposit ka hai.aapki jankari ke liye bata de ke fd ko term deposit bhi kaha jata hai.kyunki fd par kisi tarah ke risk nahi hote.aur sabse bada fayda yeh hai ke ishme government bonds ke competition return bhi jayada milta hai.

FD karane ke aur bhi bahot fayde hai ase hi 5 fayde hum aapko ish post me bata rahe hai.toa aaiye jante hai fd karane ke 5 fayde kya hai.

● 5 low budget business

(FD) Fixed Deposit ke 5 Fayde

No.1 Good Return

Market me aaj jitne bhi investment ke option hai unme sabse behtar aur risk free product FD hi hai.agar koi apni money ko bina risk invest karna chahta hai toa ushke liye fixed deposit se acha option koi dushara nahi hai.

Example : State bank of india apni 5 years ki fd par 6.25% aur senior citizens ki fd par 6.75% interest deta hai.halanki kai NBFC apni alag-alag time deposit par 8% se bhi jayada return dete hai.

● 5 ways to make money online

No.2 Stable And Fixed Return

FD karane ke fayde me sabse bada fayda yeh bhi hai ke yeh market ke up down se door rahta hai.ishka matlab yeh hua ke market ki kisi bhi halchal se fixed deposit ke interest par kisi tarah ka koi fark nahi padta.yehi bajah hai ke investron ke liye invest ka yeh ek stable option hai.aur ishme kitna return milega yeh pahle se hi fix hota hai.yani invester ko yeh pahle se hi pata hota ke ushe last me kitna return milega.

● Lic premium calculators

No.3 Facility of Liquidity

Fixed Deposit market ka ek sabse jayada
liquid investment hai.aur kabhi bhi jaroorat padne par ishse paisa nikala ja sakta hai.ishka matlab yeh hua ke koi bhi apni fd ki maturity hone se pahle jaroorat padne par paisa nikal sakta hai.lekin ishke liye ushe kuch charge bhi dena padta hai.agar baat kare sbi ki toa 0.50% se 1.0% tak prematurity withdrawal charge leta hai.banko aur NBFC ke prematurity withdrawal charge tenor ke anushaar tay hota hai.

● Without atm card ke sbi atm se paise withdraw kaise kare

No.4 Loan Facility

FD paise invest karne ka ek esa option hai jishme aapko loan lene ki facility bhi mil jati hai.jayadatar costumers ko unki jaroorat par bina fd tode unki jama ki gyi rakam ka 90% tak ka loan offer karti hai.aapko bata de ki ish loan ka interest rate bahot hi normal hota hai.agar baat kare sbi ki toa ishki fd par loan lene ke liye koi prossesing fees nahi deni hoti.aur sabse badi baat yeh ke ish par koi prepayment penalty bhi nahi lagti.

● What is cancel cheque ?
No.5 Low Investment and High Flexibility

Agar baat kare flexibility ki toa fd se best koi aur product nahi hai.kyunki ishme time period and money khid hi select karne ki ajadi hoti.yani fd me koi bhi 7days to 10years tak ke liye paise ko invest kar sakta hai.sbi ki fd me money invest karne ki limit kam se kam 1,000 rupees hai.aur jayda se jayda ki koi limit nahi hai.agar koi senior citizen ishme 10,000 rupees se jayada ki fd kiya hai toa ushe 0.25% tak jayada interest milta hai.

Toa friends yeh hai fixed deposit karne ke 5 sabse bade fayde,i hope yeh information aapke liye jaroor helpful rahegi.agar yeh post aapko pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp Facebook aur Twitter par share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

Fixed Deposit karane ke 5 fayde video dekhe hindi me

Ishe bhi padiye : Google adsense account safety tips

SBI Bank ATM se Bina ATM Card Paise Kaise Nikale || how to withdraw money from sbi atm machine without atm card

how to withdraw money from sbi atm machine without atm card ? Agar aapka bhi state bank of India me account hai aur sbi atm card bhi hai.toa aapke liye sbi ne di hai ek new service.yani aub aap bina atm card ke atm machine se money withdraw kar sakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.


how to withdraw money without atm card sbi.bina atm card ke sbi ATM machine se paise kaise nikale janiye step by step hindi me.

State Bank of India (SBI)

sbi bank apne costumers ko di hai bina atm card ke atm machine se paise withdraw karne ki service.abhi tak atm machine se paise nikalnwe ke liye aapko machine me atm card lagana hota tha.magar aub aap ish new service ke baad bina atm card ke bhi atm machine se apne paise nikal sakte hai.

Bina ATM Card ATM se Paise Withdraw Kaise Kare

Bahot se log paresan hai ke bina atm card ke atm se paise kaise nikal sakte hai.yeh kya service hai.kaise kaam karti hai.agar aapke mann bhi yeh sare question hai,toa hum aapko bata rahe hai in sare sawalon ka jawaw.

● Download electricity bill from WhatsApp
● Best youtube tools for creators
● Sim card Swapping kya hai ?

SBI ish service ko ek application ke roop me laya hai.aur ish app ka naam hai (YONO CASH) aiye aapko batate hai ke YONO Cash ko kahan se download karna hai.aur kaise use karna hai.aur kaise bina atm card ke paise withdraw kar sakte hai.

How to use YONO SBI app


how to withdraw money without atm card sbi.bina atm card ke sbi ATM machine se paise kaise nikale janiye step by step hindi me.
YONO SBI

No.1 Sabse pahle aap apne android phone ya iPhone me YONO app ko install kar le.
YONO app ko aap yahan se download kar sakte hai = YONO SBI

No.2 Aub ishke baad YONO app ko open karke aapko 6 numbers ka ek YONO pin set karna hoga.jishke liye niche bataye gye steps ko follow kare.

● Aadhaar card Reprint online
● YouTube Stories se paise kaise kamaye

No.3 Ishke baad aapko bina atm card ke paise nikalne ke liye YONO app ki help se apne bank ko request karna hoga.request larne ke liye aapko YONO app me ek option mil jayega.

No.4 Ishke baad aapke mobile par ek massage ayega.jishme aapko 6 number ka pin milega.

● Cancel check kya hota hai

No.5 Ish pin ke validity 30minutes ki hoti hai.ishka matalab hai ke pin ane ke 30 minute ke andar aap kisi bhi YONO Cash point ya SBI ATM machine se paise withdraw kar sakte hai.paise bahin se nikale ja sakte hai jahan YONO Cash ki service di gyi ho.

NOTE : Yahan par aapko bata de ke abhi SBI ki yeh service 16,500 ATM par hi available hai.aap YONO se pata kar sakte hai,ki YONO Cash ki service aapke aaspass kahan-kahan par available hai.
Toa friend aub aapko pata chal gya ke kaise aap bina atm card ke sbi atm se paise withdraw kar sakte hai.aub agar aapko yeh post pasand ayi hai, toa ishe apne friends ke sath WhatsApp,Facebook,Tweeter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.
SBI bank apne costumers par kya-kya charges aur penalty lagata hai yeh sari jankari ke liye video watch kare

 Ishe bhi padiye : Air Purifier Buying Guide in hindi

Cancel Cheque Kya Hai || cancelled cheque kaise banaye

Hello friends,
Bank account ke saving account se paise nikalne ke liye aap aksharATM card ka use karte honge.par Bank account se jayada paise nikalne ho toa check book ki hi jaroorat padti hai.lekin aap me se jayada log abhi bhi Cancel check ke bare me nahi jante honge.ishliye aaj ki post me hum aapko batane bale hai ke Cancel cheque kya hota hai,aur ishka kahan aur kaise use karte hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak. 

Bank account ke Cancel cheque ki puri jankari step by step hindi me. Cancel cheque kya hai kaise use kare kya fayade hai puri jankari hindi me..

(Cancel Cheque Kya Hai ?)

Cancel cheque ek tarah ka normal sa check hi hota hai.aapke pass aapke bank account ki jo cheque book hai,ushke cheque par yadi aap 2 tirchi lines khench dete hai,aur bichme CANCELLED likh de toa ush check ko Cancel check kaha jata hai.cancel cheque banane ke liye aapko ushme 2 lines aur CANCELLED ke alava kuch aur nahi likhana hota hai.

● Online shopping karne ke 10 tips

Check par CANCELLED ishliye likha jata hai.taki koi bhi user ish check ka galat ishtemaal na kar paye.aap chahe toa kisi bank ke cheque ko Cancel cheque bana sakte hai.

(Cancel cheque ke kya fayade hai ?)

Yadi koi aapse aapke Bank account ki jankari mangta hai,toa ushe aap bho sari jankari ek Cancel cheque ke dawara de sakte hai.cancel cheque se milne bali jankari niche di gyi hai.

  > Account Holder Name

  > Bank Account Number

  > IFSC Coad

  > MICR

  > Bank Name

  > Branch Name

(Cancel Cheque Ka Kya Use Hai ?)


Cancel cheque ke bare me logon ko jayada jankari nahi hai.cancel check kai chijon ke liye bahot jaroori hota hai.

No.1 : New Bank Account

Yadi aap kisi dushare bank me account open karbana chahte hai,toa aapse bank bale ek Cancel cheque ki demand karte hai.yeh check aapse proof ke toar par liya jata hai.

No.2 : Loan

● Mobile app se paise kaise kamaye

Yadi aap kisi bank se loan lete hai,toa ushke liye aapko ek Cancel cheque dena jaroori hota hai.

No.3 : Investment

Yadi aap market me koi investment karna chahte hai,jaise ki mutual fund ya stack market toa ase me aapko ek kyc karbana jaroori hota hai. Aur ushke liye aapko ek Cancel cheque dena jaroori hota hai.

● Bina internet app download kaise kare

No.4 : Payment

Kai baar kuch company esi hoti hai,jinse yadi aapko kisi bhi tarah ki koi payment leni hoti hai,khaastoar par online payment toa bho aapse Cancel cheque ki mang karti hai.

No.5 : Insurance Policy

Aap yadi kisi Insurance company koi different tarike ki Policy karbana chahte hai,jaise ki health insurance toa aapko unhe ek Cancel check dena padta hai.
I hope friend ish post ko pura padne ke baad aap bhi Cancel  cheque ke bare me kafhi kuch samjh gye honge.agar aapko yeh post pasand ayi hai,toa ishe apne friends ke sath jaroor share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.
Cancel cheque ki aur jayada jankari ke liye aap yeh video bhi dekh sakte hai. 



Online Shopping Kaise Kare 10 Tips Hindi Me

Hello friends,
Amazon India, Flipkart, Paytm,Snapdeal par festival offers ki har years bharmar rahti hai.jaise hi festivals ka samay ata hai,baise hi yeh sari websites lubhane offers lekar ajati hai.aur kuch logon ko puri jankari na hone ki bajah se bho yahan se shopping karke nukshan utha lete hai.ishliye aaj ki ish post me hum aapko 10 online  shopping karne ke tips hindi me bata rahe hai,jinko dyan me rakhkar yadi aap shopping karte hai,toa aapko kabhi kisi nuksan ka samna nahi karna padega.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.


10 Tips Online shopping. Amazon India, Flipkart, Paytm, Snapdeal se shopping karne se pahle jaan le yeh 10 jaroori batein nahi hoga koi nukshaan.online Shopping Tips in hindi


(Online Shopping Ka Sach)

Jaise hi festivals start hote hai,baise hi Amazon, Flipkart, Paytm, Snapdeal jaisi websites par sale start ho jati hai.in alag-alag website par kai tarah ke Attrectuve offers start ho jate hai.aur sabse badi khaas baat yeh hai ke hum sab ko bhi kafhi samay se in sare offers ka intzaar rahta hai.lekin in sab ka sach toa kuch aur hi hai.kyunki yahan par aapko jo bataya jata hai aur jo dikhya jata hai un sab baton aur chijon me kafhi farak hota hai.

● Bina internet phone me live tv kaise dekhe 
● Bank ka Ragister mobile number online Change kaise kare 

Jaise ki kai website par phone ke price ko jayada likhkar dikhya jata hai.aur fhir ushi phone par kafhi badi chooth dene ka dava kiya jata hai.jubki reality kuch aur hi hoti hai.kyunki ushpar koi chooth mil hi nahi rahi hoti hai.

Kai cash ase bhi samne achuke hai,jub kisi ne in website se koi product magbaya aur festivals ki bhagdoad me inhone ushe paise lekar kuch aur hi packet bhej diya.

● Kya phone hai bimariyon ka ghar

Toa aiye jante hai,aajki ish post me ke Online shopping karte samay humain kin-kin baton ka khyal rakhna chahiye,aur kin baton par bharosha karna chahiye aur kin par nahi.yadi aap niche batai gyi on 10 baton ka khyal rakhte hai,toa aapko in website se shopping karne par kisi tarah ke nukshaan se hone bali paresani ka samna nahi karna padega.

Tips No.1 : Website ka URL aur Lock Check Kar Le

Bina https aur lock bali site par jakar aap kabhi bhi shopping na kare.https upar site ke address ke start me hota hai.jish bhi website par aap shopping kar rahe hai aur payment karne bale hai,ush website ka url jaroor dekh le aur yeh bhi dekh le ki ushme lock ka nishaan laga hai ya nahi.jo bhi website security ke hishaab se pakki hogi ushpar https ka url jaroor hoga .aur kai log froud karne ke liye ek farzi website create karke products sale karne lag jate hai,unke url me http hota hai https nahi.ase log log bankon ki nakal karke apni ek farzi website bana lete hai.jishke bare me aapko jaroor pata hona chahiye.toa next time aap jub bhi online shopping kare toa payment karne se pahle in baton ka khyal jaroor rakhe.

● LPG Gas ki subsidy kaise check kare 
● Mobile phone secrets settings 
● Bina internet website open kaise kare 

Tips No.2 : Company ki Website se Specification ki Nankari Le

Jub bhi aap online kisi website par mobile  phone kharidane jaye,toa ush phone ke features ke bare me ush company ki website par jakar jankari hasil jaroor kar le.kyunki kai baar e-commerce website par phone ke bare me kafhi kuch jankari galat likhi hoti hai.bahan par kai features phone me likhe hote hai,aur jub aap ushe kharid lete hai,toa aapko pata chalta hai ke ushme bho Feature toa hai hi nahi.aur fhir aapko paresani ka samna karna padta hai.ishliye phone ko online khridane se pahle ushke bare me ushki website par check jaroor kare.

Tips No.3 : Price Ki Jankari Le

Kisi bhi Online sale me ya fhir ase hi online khariddari karne se pahle ush product ke price ke bare me alag-alag website's par check jaroor kar le.kyunki kai website ush product ki real price se bhadkar price dikhati hai.aur fhir aapse kahti hai,ke 50% discount aapko de rahi hai.ishliye jub bhi aap online shopping karne ki soch rahe ho toa product ke bare me kai website par search jaroor kar le.

● Lic Policy ki receipt kaise download kare

Tips No.4 : Review aur Rating Dekh Le

Agar aap yeh sochte hai,ke aap Amazon ya Flipkart jaisi badi website se phone kharidate hai,toa aapko bata de ki itana hi kafhi nahi hai.kyunki yeh badi-badi company bhi adhikarik seller nahi hai.ishliye jubbhi aap kisi phone ko kharide toa yeh jaroor pata kare ke ushe bechane bala koun hai.aur ush phone ke bare me logon ne kya-kya review diye hai.review se phone ka sara sach samne ajata hai.ishliye phone ka review aur ushki ratting jaroor dekh le.

Tips No.5 : Warranty Dekh Le

Kisi bhi phone ko Online kharidane se pahle ushki warranty jaroor dekh le.aur sath hi ush phone ke sath milne bali ushki accessories ki warranty bhi check kar le.aur ishke sath hi yeh bhi jaroor check kare ki ushki terms and conditions kya hai.in sari sari chijon ko dyan me rakh kar hi phone ko le.

● Kisi bhi mobile me face lock kaise lagaye

Tips No.6 : Offers Dekh Le

Ek hi website par ek hi samaan ke sath kai sare bankon se milkar offers diye jate hai.ishliye kuch bhi online kharidane se pahle jaroor dekh le.taki aapke kisi bank ke sath kisi product ka koi offer ho toa aap ushka fayada utha sake.

Tips No.7 : Exchange Offers Dekh Le

Agar aap koi product kharidane ja rahe hai,aur jish company ka bho product hai,ushi company ka aapke ghar me bhi koi bahi product purana pada hai,toa aap exchange offer me ushe dekar kuch paise new product me kam karba sakte hai.ishliye jub asp Online koi product kharidane bale ho toa ushka exchange offer jaroor dekh le.

● Computer keyboard shortcuts
● WhatsApp Tips and tricks 
Mobile app kaise banaye

Tips No.8 : Refund aur Return Dekh Le

Kisi bhi product ko khridne se pahle ushki terms and conditions ko ek baar jaroor pad le.kyunki product me koi kami ya kharabi ane ke baad ushe return karne keliye kai company 30days ka aur kai 10days ka time rakhti hai.ishliye bho pahle hi yeh likh kar rakhti hai,unhe jaroor pad le taki aapko kisi kharab product ke sath compromise na karna pade.

Tips No.9 : Phone Refurbished Toa Nahi Check Kar Le

Kai e-commerce  company refurbished phone yani ki second  hand phone bhi bechane lagi hai.ishliye jub bhi aap koi phone kharide toa ish baat ka khayal rakhe ke bho phone refurbished toa nahi hai.baise aapko bata de ki phone agar refurbished hoga toa ushki jankari bahan par di gyi hogi.ishliye phone online kharidate samay jaroor dekh le.

● YouTube se paise kaise kamaye 
● App se paise kaise kamaye 
● Internet se paise kaise kamaye 

Tips No.10 : Product Ki Unboxing Ka Video Record Kar Le

Festival ke samay me asi e-commerce company ke upar kafhi load ajata hai.ish bajah se kai cash ase bhi samne achuke hai,jub kisi ne ek phone book kiya aur payment kar di.lekkn delivery ke baad jub box ko khola toa ushme se phone ki jagah koi stone ya kuch aur hi nikal gya.aur fhir yeh company api galti ko nahi manti.ya fhir aapse proof manga jata hai.ishliye jub bhi aapko koi product ko apne ghar par open kare toa ushka apne kisi bhi camera se ek Unboxing karte huye video jaroor bana le.taki koi galat chij nikal jane par aapke pass ushka proof ho.

Toa friends yadi aap Online shopping karte samay in 10 Tips ko dhayan me rakhte hai,toa aap apne aap kisi tarah ki paresani se kafhi had tak bacha sakte hai.
i hope aapko yeh jankari jaroor pasand ayi hogi,agar ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook share kare aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou. 

Ishe bhi padiye: Bina Debit,Credit card online shopping kaise kare

ATM Se Bank Ka Mobile Number Kaise Change kare || ATM Se Mobile Number Ragisterd Kaise Kare

Hello friends,
ATM Machine se apna Bank  me register mobile number kaise Change kare, ya new number kaise Ragisterd kare.aaj ki ish post me hum aapko step by  step yehi puri jankari dene bale hai.ke kaise aap kuch step ko follow karke apne SBI Bank ke account me apne registered Mobile number ko asani se Change kar sakte hai ya Ragisterdkar sakte hai.agar aap bhi yeh puri jankari chahte hai toa padte rahiye ish post ko akhir tak.

ATM machine se Bank me mobile number kaise Change ya Ragister kare puri jankari step by step hindi me


Aaj ke samay me har kisi ke pass apna khud ka kam se kam ek Bank  account toa jaroor hai.aapke pass bhi hoga.aur agar bank account hai toa ush account se registered ek Mobile number bhi jaroor hoga.kyunki jub bhi aap apna bank me account open karbate hai toa aapse aapka contact number manga jata hai.jispar bank aapko jaroori jankari dene ke liye any time aapse contact kar sake.toa aap apna mobile number bahan de dete hai.par kabhi aap kisi karan se apna mobile number Change karna chahte hai.toa aapko new number ko purane number ki jagah badalne me paresaniyon ka samna karna padta hai.agar aaj se kuch samay pahle ki baat kare toa aapko apne bank account se apna number change karbane ke liye bank jana hota tha.aur request ke toar par number Change karbane ke liye ek application deni hoti thi.ushke baad aapka Mobile number Change kiya jata tha.

● Online Bank ka Ragister number kaise Change kare
● Bina Debit,Credit card online shopping kaise kare
● Android apps ka password kaise secure kare

Magar aub samay badal gya hai,agar aap apna Bank me registered number Change karna chahte hai,ya new number Ragisterd karna chahte hai,toa aapko keval ATM machinetak jana hoga.aur aap kuch step ko follow karke badi hi asani se apna mobile number Change kar sakte hai,ya new mew number  Ragister kar sakte hai apne Bank account se.

Hum niche aapko batane ja rahe hai,ATM machine ke jariye bank account se link Mobile number ko Change karne ka ra Ragisterd karne ka aasan tarika.aapko ishke liye keval ATM machine tak jana hoga.aur niche diye gye kuch simple se step ko follow karke aap asani se apna bank se registered mobile number Change ya Ragisterd kar sakte hai. Toa chaliye jaan lete ke kaise ATM machine se registered mobile number Change ya Ragisterd karte hai.

● LPG gas subsidy kaise check kare
● Aadhaar card ki jankari kaise lock kare 
● Lic Policy ka status kaise check kare

(ATM Se Mobile Number Kaise Ragister kare)


Step.1 = Subse pahle apna card Swipe kare.

Step.2 = Card Swipe karne ke baad kuch options show honge.

Step.3 = Aub aapko mobile  registration par click karna hai.

Step.4 = Aub aapse aapka ATM pin manga jayega.pin enter kare.aur continue par click kare.

Step.5 = Continue par click karne ke baad aapke samne ATM machine ki screen par kuch options show honge,ushme se aap Mobile number registration par click kare.

Step.6 = Aub aapke samne new registration ka option show hoga,SBI Bank me new mobile number Ragisterd karne ke select kare.

Step.7 = Aub apna bho mobile number enter kare,jise aap Ragisterd karna chahte hai.fhir correct ke option par click kare.

Step.8 = Correct ke option par click karne ke baad Number ko confirm karne ke liye fhir se ushi number ko re-enter karke confirm par click kare.

Step.9 = Aub ATM machine ki screen par aapke samne "You Have Successfully Update Your Mobile Number" likha hua dikhai dega.aur aapke phone number par ek Reference number receive hoga.aapko bahan par bataye gye Format me ush Reference Number ko 567676 par Send karna hoga.

● YouTube se paise kaise kamaye
● Google Adsense account kaise banaye
● Internet se paise kaise kamaye

(ATM Se Mobile Number Change kaise kare)


Step.1 = Subse pahle apna card Swipe kare.

Step.2 = Card Swipe karne ke baad kuch options show honge.

Step.3 = Aub aapko mobile Registration par click karna hai.

Step.4 = Aub aapse aapka ATM pin manga jayega.pin enter kare.aur continue par click kare.

Step.5 = Continue par click karne ke baad aapke samne ATM machine ki screen par kuch options show honge,ushme se aap Mobile number Change par click karke apna number Change kar sakte hai.

Toa ish tarah se aap ATM machine ki help se apne registered mobile number ko Change ya new number ko Ragister kar sakte hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends aur family members ke sath share kae.aur humain humari www.www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye = WhatsApp tips and tricks

Online Bank Me Registered Mobile Number Kaise Change kare

Hello friends,
Mobile, Laptop, ya Computer se apne Bank Account me registered mobile number ko kaise Change kare.aaj ki ish post me hum aapko step by step yehi puri jankari dene bale hai.ke kaise aap kuch step ko follow karke apne sbi ke bank account me apne registered Mobile number ko asani se Change kar sakte hai.agar aap bhi yeh puri jankari chahte hai toa padte rahiye ish post ko akhir tak.

Online SBI Bank. Internet par SBI Bank me ragisterd mobile number ko kaise Change kare step by step hindi.


Aaj ke samay me har kisi ke pass apna khud ka kam se kam ek Bank Account toa jaroor hai.aapke pass bhi hoga.aur agar bank account hai toa ush account se registered ek mobile number bhi jaroor hoga.kyunki jub bhi aap apna bank me account open karbate hai toa aapse aapka Contact Number manga jata hai.jispar bank aapko jaroori jankari dene ke liye any time aapse contact kar sake.toa aap apna mobile number bahan de dete hai.par kabhi aap kisi karan se apna mobile number Change karna chahte hai.toa aapko new number ko purane number ki jagah badalne me paresaniyon ka samna karna padta hai.agar aaj se kuch samay pahle ki baat kare toa aapko apne bank account se apna number change karbane ke liye bank jana hota tha.aur request ke toar par number Change karbane ke liye ek application deni hoti thi.ushke baad aapka Mobile Number Change kiya jata tha.

● Mobile tower side effects on human body
● Paytm bank money transfer 
● Reliance jio new updates 

Magar aub samay badal gya hai,aajkal har kaam aap apne ghar par hi baith kar apne Mobile, Computer, Laptop se online kar sakte hai. Ishke liye aapko bank ki lambi lambi lines me jakar lagne ki koi jaroorat nahi hai.

Hum niche aapko batane ja rahe hai,SBI Internet  Banking ke jariye bank account se link Mobile number ko Change karne ka aasan tarika.aapko ishke liye keval internet connection ki jaroorat hogi.ishke liye aapke pass internet  banking honi jaroori hai.aur niche diye gye kuch simple se step ko follow karke aap asani se apna bank se registered mobile number ghar par hi Change kar sakte hai. Toa chaliye jaan lete ke kaise online bank me registered mobile number Change karte hai.

● Bina debit,credit card ke online shopping kaise kare 
● Bina password phone unlocked kaise kare

(Internet Se SBI Bank Me Registered Mobile Number Change Kaise Kare)


Step.1 - sabse pahle aap SBI internet banking me login kar le.

Step.2 - Login hone ke baad aapko ek dashboard najar ayega ushme aapko apni profile par click karna hai.

Step.3 - Profile par click karne ke baad aapke samne kafi sare options najar ayenge.yahan aap personal detail mobile par click kare.

● LPG Gas ki subsidy kaise check kare
● Aadhaar card ki Jankari kaise lock kare

Step.4 -
Aub aapke samne profile password ka option ayega.yahan aapse aapka profile password manga jayega.apna profile password dalkar submit ke button par click kar de.

Step.5 - Aub ishke baad aapke samne ek aur dashboard opne hoga.yahan par aapko display name,email ID aur registered mobile number set karne ka option milega.aap ishme se domestic only ke option par click kar de.

● Lic Policy Online kaise check kare
● Google search history 
● Computer keyboard shortcuts 

Step.6 -
Aub yahan par aapko apna bho mobile number dalana hai jishe aap apne bank account me registered karna chahte hai.yeh same mobile number aapko yahan par 2 baar dalna hai.

Step.7 - Yahan aapko apne mobile number ko Change karne ke 3 options milte hai.

By OTP on Both Mobile Number: ke option ko select karne se aap ushi samay apne register mobile number ko Change kar sakte hai. Ish option ko select karne ke baad aapke old aur new Mobile  number par ek OTP coad sand kiya jayega jishko verify karne ke baad aapka new mobile number aapke SBI bank account se register ho jayega.

Toa ish tarah se aap apne ghar par hi Internet Banking Service ki help se apne registered mobile number ko Change kar sakte hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends aur family members ke sath share kae.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye = WhatsApp Tips And Tricks Hindi Me

Bina Dabit Card Ke EMI Par Shopping Kaise Kare

Hello friends,
Amazon Pay EMI aur Flipkart Debit card EMI ki services ka use karke aap bina Dabit,Credit card ke online shopping kar sakte hai. 
Aajkal log offline ki hi tarah online bhi kafi shopping karte hai.par jayada logon ke sath online shopping karne me jo sabse badi paresani ati hai,bho yeh ke unke pass na toa kisi bank ka debit card hota hai,aur na hi creditcard. Aur unhe EMI par saman kharidna hota hai.ase me bho EMI par shopping nahi kar pate.magar aaj hum aapko batane bale hai,ke kaise aub aap bina debit ya credit cards ke bhi EMI par shopping kar sakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.



(Without Debit,Credit Card Ke Online shopping kaise kare)

World ki sabse badi e-commerce company Amazon ne apna ek new Amazon Pay EMI launch kiya hai.
Yeh feature un logon ko dyan me rakhkar launch kiya gya hai,jinke pass online shopping karne ke liye kisi bhi bank ka debit card ya credit card nahi hota.
Aur bho log EMI par koi saman nahi khrid pate.
Lekin aub ish feature ke ane ke baad bho log bina kisi paresani ke kisi bhi product ko EMI par khrid sakenge.
Amazon ki ish sarvice ka sidha sidha Flipkart Dabit Card EMI se mukabla hai.
Amazon ki ish service ke jariye bhi aap bina kisi bhi bank ke Debit ya credit cards ke EMI par shopping kar sakte hai.

Reliance jio new updates 
Bina password ke phone unlocked kaise kare
 ●WhatsApp ka data google drive se delete kaise kare

Toa agar aapke pass bhi kii tarah ka koi Debit ya credit cards nahi aur aap EMI par kuch bhi shopping karna chahte hai,toa badi hi asani se kar sakte hai.
Toa chaliye jaan lete hai ke kis service ka aapko ishtemal karna hai,aur kaise karna hai.aur ishke aapko kya kya fayede honge.

(Bina Debit,Credit Card Facility)

Agar aap bina Debit,Credit card khriddari karna chahte hai,toa aapko Amazon par Amazon  Pay EMI ka feature milta hai.
Bahin agar baat kare flipkart ki toa bahan aapko Flipkart  Debit card EMI naam ka feature milta hai.

Phone hai bimariyon ka ghar
Aadhar card ki jankari lock kaise kare

(Amazon Pay EMI Ki Limit)


e-commerce company Amazon Pay EMI ki madad se aap 8,000 rupay tak ki sabse kam se kam khariddari kar sakte hai.
Aur jayda 60,000 rupay tak ki sabse adhik khriddari kar sakte hai.

(Flipkart Debit Card EMI ki Limit)

Flipkart Debit Card EMI aapke bank par tay karta hai.ke aap sabse kam kimat bale product ko EMI par kharid sakte hai.bahin agar baat kare sabse jayada khriddari ki toa aap 100,000 rupay tak ki sabse jayada EMI par khariddari kar sakte hai.

Mobile secrets settings 
Lic online check kaise kare

(Amazon Pay EMI Bank Name)


Amazon Pay EMI ki facility in bank account par aapko milti hai.HDFC Bank,ICICI Bank,Canara Bank,Citibank aur Kotak Mahindra  Bank.

(Flipkart Debit Card EMI Bank Name)

Flipkart Debit Card EMI ki facility aapko in bank par mil jati hai.HDFC Bank,ICICI Bank,Axis Bank aur State  Bank of India (SBI).

Facebook fake accounts ki report kaise kare
YouTube se paise kaise kamaye

(EMI Ki Kist Kitane Dino Me Bharni Hogi ?)


Amazon Pay EMI aur Flipkart Debit card EMI se khariddari karne par aapko 3 se  12 Months tak ka time milta hai.yeh sab products par depend karta karta hai ki aapko kist kitne dino me bharni hai.

(Kin Platform Par Use Kar Sakte Hai ?)

Amazon Pay EMI ko abhi kuch samay pahle hi lunch kiya vya hai.ishliye abhi ish subida ka use aap keval mobile phone par hi kar sakte hai.yani ki aapko ish seva ka use karne ke liye apne mobile phone me Amazon app download karni hogi.

Bahin agar baat kare Flipkart  Debit card EMI toa ishki subida ke liye aap Flipkart app aur website dono ka hi use kar sakte hai.yani aap ishe mobile aur computer dono me use kar sakte hai.

Bina internet website kaise chalaye
Computer keyboard shortcuts 
WhatsApp tips and tricks 

(Amazon Pay EMI Ke Liye Kya Chahiye ?)


Amazon Pay EMI ka use karne ke liye aapko na toa kisi documents ki jaroorat hogi aur na hi kisi tarah ki koi prossesing fees deni hogi.

(Flipkart Debit Card EMI Ke Liye kya Chahiye ?)

Flipkart debit card EMI ke liye aapko documents dene honge.lekin yahan aapse kisi tarah ki koi prossesing fees nahi li jayegi.

Toa ish tarah se aub aap Amazon Pay EMI aur Flipkart Debit Card EMI ki services ka use karke aap bina credit card ke shopping kar sak sakte hai.
Agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friend aur family members ke sath jaroor share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye = Internet se paise kaise kamaye

Google Adsense Me Bank Account Kaise Add kare

Hello friend,
Yadi aapka koi blog,website ya fhir koi YouTube channel hai,aur uske liye aapne ek adsense account banaya hai,aur aapke account me eearning 10$ se jayada ho gyi hai,toa aub aapko usme apna bank account add kar dena chahiye.Google adsense me bank account kaise add karte hai,puri jakari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

How to link Google adsense to bank account in hindi,Adsense account se apna bank account kaise link kare puri jankari details ke sath step by step hindi me

(Google Adsense Me Payment Kaise Hoti Hai ?)

Friend google adsense kuch samay pahle tak toa (EFT) electronic funds transfer aur chack ke dwara payment karta tha.
Magar aub website,blog ya YouTube se kamay gye paison ko aap tak pahunchane ke liye google aapke bank account ko mangta hai.
Aur aapki payment ko direct wire transfer se aapke bank account me dal deta hai.
Iske liye aapko apna bank account apne google adsense ke account me add karna hota hai.

Google adsense address bina pin ke verify kaise kare 
Google adsense address verification ke liye new pin generate kaise kare
Kisi bhi Mobile app ka naam aur icon change kaise kare
Google tez app se paise kaise kamay 
Mobile app se paise kaise kamay 

(Google Adsense Payment Kab Karta Hai ?)


Friend jab aapke adsense account me 100$ ki payment puri ho jati hai,toa aap google adsense se apni payment ko recieve kar sakte hai.
Aapko apni payment ko recieve karne ke liye apne bank account ko Google adsense me add karna hota hai.
Jis month me aapke adsense account me 100$ ki payment complete ho jati hai,ushi month 21st ko google aapki payment ko aapke dwara diye gye bank account me transfer kar deta hai.
Aur aapke email address par ek mail bhi bhej deta hai,jisme likha hota hai, ki aapki payment aapke bank account me transfer kar di gyi hai.

Tv ko computer ka monitor kaise banay 
Computer keyboard shortcuts kya hai 
Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banay 
Mobile ka battery backup kaise bhaday
Bina internet koi bhi app kaise download kare

(Adsense Se Payment Ane Me Kitna Samay Lagta Hai ?)

Friend Google adsense aapki payment ko 21st ko aapke bank account me bhej deta hai.
Payment ko aapke bank account me ane ke liye 2 se 4 din ka working days ka samay lag jata hai,bank ki chutti hone ke karan kabhi kabhi 6 se 10 din ka samay bhi lag jata hai.
Yadi 15th days tak aapki payment aap tak nahi pahunchati hai, toa aapko Google adsense ki team se sampark karna hota hai.fhir google adsense ki team pta karti hai ke aapki payment kahan par ruki hai,koi problem hone par aapki payment ko return karke aapke adsense account me add kar deta hai.
Fhir aap ushe next month me fhir se recieve kar sakte hai.

(Google Adsense Me Bank Account Add Karne Ke Liye Kya Jaroori Hai ?)

Bank account ko apne adsense account se jodne ke liye,aapko kuch baton ko khas toar par dhyan me rakhna hota hai.
Tabhi aap thik tarike se apne adsense account se bank account ko link kar sakte hai.

Note.1 : Apka google adsense ka account jjis naam se hai, ush naam ka hi bank account bhi hona chahiye.

Note.2 : Aapka bank account jis branch me hai, ush branch ka aapke pass IFSC code bhi hona chahiye,IFSC ( Indian Financial System Coad) aapki bank ki passbook ke front page par bhi likha hota hai.
Aap chahe toa ishe online search karke bhi pta kar sakte hai,IFSC coad har branch ka alag alag hota hai.

Note.3 : Aapke pass aapke bank account ka Swift-BIC coad bhi hona chahiye.
Agar aapki branch me Swift-BIC coad nahi hai,toa aap apne state me apni branch ke najdik bale kisi aur bank ka Swift-BIC coad de sakte hai.
Magar yahan dyan rakhe aap ushi naam ke bank ka coad de jis naam ke bank me aapka account hai.

EXAMPLE :- (state Bank of India) ka swift code (state Bank of India) ka hi hona chahiye.

Swift-BIC coad international money transfer ke liye kaam ata hai.
Aapko bahar desh se money transfer karbane ke liye Swift-BIC coad dena jaroori hota hai.

Aapko apne google adsense ke account ke sath apna bank account link karne ke liye in sab chijon ki jaroorat hoti hai.
Toa agar aapne yeh sab Jankari hasil kar li hai, toa chaliye ab sikh lete hai ke kaise apne adsense account me apne bank account lko add karna hai.
Bus aap dyan se mujhe step by step follow kariye.

Mobile heat kyun hota hai,heating solutions
YouTube go kya hai
Blog,Blogger,Blogging kya hai
Internet se paise kaise kamay
Aadhar card ka status kaise check kare

(Google Adsense Se Apna Bank Account kaise Jode)

Google Adsense Account me apna bank account add karne ke liye,sabse pahle apne adsense account me login kar le.


Step.1 : Adsense Account me login hone ke baad,sabse pahle aap yahan par 3 doat (bindu) hai,ushpar click kariye. Aap upar image me dekh sakte hai.

Step.2 : Aub yahan par payment par click kariye.

Step.3 : Aub yahan par transaction history ka page open hoga,yahan par aap apni payable earning ko dekh sakte hai,jitana payment yahan par show hoga, utna payment aap apne bank account me transfer kar sakte hai.

Step.4 : How you get paid ke samne manager par click kariye.
Yahan par click karte hi payment setting ka page opne hoga.

Step.5 : Add anew payment method par click kariye.

Step.6 : Ab yahan par ek form opne hoga, jisme aapko apne bank account ki puri sahi sahi details bharni hai.
Ish form ko bharte samay koi bhi galti na kare,nahi toa aapko apki payment milne me paresani ho sakti hai.
Aapka adsense account ka naam aur aapka bank account me naam bhi bilkul same hi hona chahiye.

Amazon se paise kaise kamay 
YouTube ka url link kaise change kare 
Email id kaise banay 
Facebook account kaise banay 
Google par account kaise banay 


How to link Google adsense to bank account,Google adsense se apna bank account kaise jode in hindi

No.1 = ishme apna naam bhariye.

No.2 = Ishme apne bank ka naam bhariye.

No.3 = ishme apne bank ka IFSC COAD bhariye.

No.4 = ishme Swift-BIC COAD bhariye.

No.5 = ishme apna bank account number bhariye.

No.6 = ishme phir se apna bank account number bhariye.

Note :- Bhari hui sari jankari ko ek baar fhir se check jaroor kar le.

No.7 = Aub save par click kariye.

Hybrid sim slot bale mobile phone me 2 sim ke sath micro sd card kaise lagay
Mobile aur tower ke kya kya nuksaan hai hum par
How to use jio security in hindi

Congratulations : Ab apka bank account aapke adsense account me save ho chuka hai.aub agar aap koi bank account bhi add karna chate hai,toa same tarike se kar sakte hai,aur aub agar aap ishi bank account me apni adsense ki payment ko har baar lena chahte hai, toa "Set this payment method as primary " par click kariye.

Aub jub bhi aapke adsense ke account me 100$ se upar ki payment hogi, toa bho apne aap hi har month ki 21st ko aapke bank account me transfer kar di jayegi.

Toa friend aub sikh chuke hai,ke kaise apne Google adsense account me apne bank account ko add karte hai,agar aapko yeh jankari pasand ayi ho toa ise apne friends aur family members ke sath share kariye,aur humain follow kare.Thankyou.

Paytm se bank account main paise transfer kaise kare

Aaj aapko kisi se paise lene ho ya dene ho sub online hi ho jata hae.

Paytm se kisi bhi bank account me money transfer kaise karte hai puri jankari hindi me

Esa hi ek jariya hae paytm best aur safety se aapke paison ko ek jagah se dusri jagah pahunchata hae,
Aaj main ish post main paytm k paison ko bank account main kaise transfer karte hain batane ja raha noon,

Aiye jante hain k paytm se bank account main paise kaise transfer karte hain.

Main aapko paytm app k bare main bataunga .

Sabse pahle aap play store par jaiye aur paytm app install kariye and open kare.

App open hone k baad kuch ish trah dikhai degi aapki screen par.
Yahan dekhiye aapko passbook ko option dikhai dega uspar click kariye.

Aub aap agle step par pahonch jaoge
Yahan aap apne paytm ka upar balance bhi dekh sakte hain.

Niche sand money to bank ka option hae uspar click kariye.

Sand money to bank par click karne k baad app agle step par pahunch jaoge.

Yahan dekhiye aapko transfer ka option hae,uspar click kariye.

Ab aap agle step par pahonch jaoge,
Yahan aapko isko pura dayan se bharna hae.

1 = isme jitne paise bank main transfer karne hain bho bhariye.

2 = isme jiske naam par bank main account hae unka naam bhariye.

3 = isme bank ka account number bhariye.

4 = isme bank ka ifsc code bhariye, ifsc code passbook k front page par likha hota hae,yadi na mile toa koi dikkat ki baat nahi hae,
Right side main find ifsc code par click kariye, ek or page khulega,usme sabse pahle (1)state bhariye,(2)city bhariye, (3)bank ka naam bhariye, (4)branch bhariye, or continue par click kariye, ab Jo code ayega use copy karke ish box main bhariye .

5 = ish box agar aap koi massage likhna chate hain toa likh sakte hain, nahi toa ise ase hi rahne den.

6 = ishke baad sand kare.

Sand karte hi apki screen par sand successfully ka massage sow hoga an aapki money bank account main transfer ho chuki hae.

Toa friend yeh thi jankari paytm ki money ko bank account main transfer karne ki,aapko yeh jankari kaisi lagi niche comments karke bataiye aur ish post ko share kariye aur humen like aur follow jaroor kariye.

Older Posts Home

Translate

Blog Archive