Mobile Battery Backup Badane ke 10 tarike

hello friends,
agar aap baar baar apne mobile phone ki battery ke khatam hone se paresaan hai ? toa hum laye hai ish post me mobile phone ki battery ke backup ko badane ke 10 secret, puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

Mobile ki life ko bhadane ke best tarike janiye ish post me, smart phone ki battery ka backup bhadane ke 10 best tarike details ke sath hindi me

log kahin bhi jate hai toa unko ek chinta hamesa rahti hai, ke raste me unke mobile phone ki battery na khatam ho jay.

 akshar battery khatam hone ke darr se ghar se hi battery ko full karke chalte hai.

kai log toa ghar se bahar mobile phone ka isliye bhi istemaal nahi karte k kahin unki battery na khatam ho jay.

kai log battles kahtam ki bajah se 1 ya 2 battery extra lekar chalte hai.
mobile ka power bank sath lekar chalte hai.

aur baar baar battery khatam hone ki bajah se hume battery ko baar baar charge karna padta hai.

aur baar baar charge karne se phone ki battery ki life bhi ghatati jati hai.

isiliye aaj hum aapko batane ja rahe hai,10 tips jinka use karke aap mobile battery ko jayada samay tak use kar payenge.aur ushki life ko bhi bhada payenge.

toa chaliye jante hai mobile phone ki battery ke backup ko bhadane ke tips.

• Apne phone par kisi bhi shahar ko dekhiye live

• Mobile ko computer ka mouse aur keyboard kaise banay

• Mobile phone heat kyun hota hai ?

(phone ki battery ka Backup Bhadane Ke 10 Tips In Hindi)

No.1=Vibration Mode

agar aap apne mobile phone ko hamesa vibration mode par rakhte hai,toa aapko bata de ishme battery jayada kharch hoti hai.

ishiliye mobile phone ka ring mode on rakhen.

agar ring mode ko on nahi rakh sakte hai, toa phone ko slide mode par dal de.

asa karne se phone ki battery jayada samay tak chalegi.

Facebook,WhatsApp, Instagram par full size ki profile picture kaise lagay

• Bina internet ke YouTube videos kaise dekhe

• Bina internet ke apps kaise download kare

• Mobile aur tower ke kya kya nuksaan hote hai hum par

No.2=Display Time Out

mobile phone ka screen time out 30 second ya 1 minute tak hi set karke rakhe.

ishse battery ki life bhadegi.
phone screen ka time out 10 minute, 20 minute ya 30 minute ka rakhenge toa,jub mobile phone ka use nahi bhi ho raha hoga,tub bhi screen ki light jali rahegi.

aur time jitna kam hoga light utni jaldi band ho jayegi,aur ish tarah se battery lumbe samay tak khatam nahi hogi.

No.3=Display Color

aap apne smart phone ke display me black ya dark color ka wallpaper use kara kare.

ishse battery ki energy kam lagti hai.
jub bhi aap light color ka wallpaper use karte hai,toa ushke pixels show karne me jayada energy ki jaroorat hoti hai.

sahi color ka wallpaper set karke aap apne smart phone ki battery ko jayada samay tak use kar sakte hai.

• Hybrid Sim slot bale smart phone me 2 sim ke sath micro sd card kaise chalay

• 1G,2G,3G,4G network kya hai ?

No.4=Version Update

phone ki application ko lagataar update krate rahna chahiye.
halanki apps ko lagataar update karte rahna thoda mushkil kaam hai.

lekin agar aap apne smart phone ki application ko update karke rakhte hai, toa aapke phone ki parformans bahtar hogi.

aur ishse aapke phone ki battery bhi jayda chalegi.

app developers application ko update karte rahte hai.

ke bho kam battery use kare aur jagah bhi pahle se kam le.

toa ishtarh se apps ko update karke aap battery ke backup ko bhada sakte hai.

No.5=Unused Application

Smart phone ki battery ka backup bhadane ke 10 tips in hindi

kai baar hum un apps ko bhi apne mobile phone me download kar lete hai, jin application ka hamare liye koi use nahi hota.

aapko bata de ke bho apps bhi aapke phone ki battery ko jaldi khatam karti hai.

toa asi apps ko abhi apne phone se remove kar de.

taki aapke mobile phone ki battery jaldi khatam na ho.

Blog,Blogger, Blogging kya hai ?

• 5 amazing websites Jo aapke bahot kaam asakti hai

No6=Home Screen Widgets

phone ki home screen par kai sare widget create ho jate hai.

jo ki lagataar update rahne ke liye battery kharch karte rahte hai.
in widgets ko abhi phone ki screen se remove kar de.

taki phone ki battery ki long life me koi adchan na aye.

No.7=phone Notification

agar jaroorat na ho toa mobile phone ki apps ke notification aur GPS ko off kar de.

jub tak yeh on rahte hai, tub tak battery ka lagataar use karte rahte hai.

inhe off karke bhi aap apne smart phone ki battery ka backup bhada sakte hai.

• YouTube par multiple channel kaise banay

• Google par account kaise banay

No.8=Airplane Mode

kai jagah par signal ki bahot problems hoti hai.

asi jagah par apne smart phone ko airplane mode par hi rakhe.

kyunki asi jagah par phone ko signal search karne me bahot battery kharch hoti hai.

asi jagah par phone ko airplane mode par rakhkar bhi battery ke backup ko bhada sakte hai.

No.9=Display Brightness

• Inverter ac kya hai ?

• Paytm se kisi bhi bank me paise kaise transfer kare

• Internet se paise kaise kamay

mobile phone ki screen ki brightness kam karke rakhni chahiye.

jayada brightness ka matlab hai battery ka jayada kharcha.

brightness ko jaroorat ke anusaar hi rakhe taki battery jayada samay tak chale.

No.10=Battery Charging

dyan rakhe jub aapke phone ki battery 40℅ bachi ho tab hi ushe charge kar lena chahiye.

ishse battery ki life bhadti hai.
jankaar logon ka kahna hai,(3) teen mahine me ek baar phone ki battery ko puri tarah se discharge kar lena chahiye.

aur phir ushe charge karna chahiye.
esa karne se phone ki battery ki charging capacity bhadti hai.

in tarikon ka use karke aap apne smart phone ki battery jaldi khatam hone ki paresani se chutkara pa sakte hai.

asha karta hoon friends ke aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi, yadi pasand ayi hai toa ish post ko apne friends ke sath share kariye, aur humain www.kyakraen.com website par follow kariye.ThankYou.

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive