Search Here ...

Showing posts with label WhatsApp. Show all posts
Showing posts with label WhatsApp. Show all posts

LIC WhatsApp Service | LIC Policy WhatsApp Par Kaise Check Kare

lic launches whatsapp services for policyholders.life insurance corporation of india ne apne policyholders ke liye whatsapp service launch kar di hai.ish post me hum aapko details ke sath batayenge ke lic whatsapp services kya hai aur lic policy whatsapp par kaise check karte hai.

LIC WhatsApp Service

LIC WhatsApp Service

Desh ki sabse badi jeevan bima company LIC of India ne aapne policy holders ki subidha ke liye interactive whatsapp services start kar di hai.
Yadi aapke pass bhi koi lic policy hai toa aub aap apne mobile phone me whatsapp par apni lic policy ka status,loan,premium jaise kai services ka labh le sakte hai.
Aiye jante hai ke whatsapp lic service ka use kaise karte hain aur whatsapp par aapko lic kaun-kaun se services de rahi hai aur lic whatsapp services phone number kya hai.

LIC WhatsApp Services

lic of india ki taraf se abhi whatsapp par aapko 11 services di ja rahi hain.

1. Premium Due
2. Bonus Information
3. Policy Status
4. Loan Eligibility Quotation
5. Loan Repayment Quotation
6. Loan Interest Due
7. Premium Paid Certificate
8. ULIP-Statement of Units
9. LIC Service Links
10. Opt In/Opt Out Services
11. End Conversation

LIC WhatsApp Services Kaise Use Kare

LIC whatsapp services use karne ke liye niche bataye steps ko follow kare.

LIC WhatsApp Services phone number- 8976862090 hai.
Sabse pahle aap yeh phone number apne mobile phone ke contacts me save kar le.

Step 1.. Name ki jagah par LIC type kare aur mobile number ki jagah par 8976862090 number type karke save kar le.

Step 2. Apne smartphone me whatsapp open karke lic ki chat me jaye aur niche Message me "Hi" type karke send kare.

IC WhatsApp Services

Step 3. Aub aapko lic whatsapp par reply ayega aur likha hoga "Welcome to LIC of India WhatsApp Services!".

Step 4. Nich 11 services ki list me se aap jis bhi service ko use karna chahte hain ushke samne likhe number ko message ki jagah type karke send kar de.kuch seconds ke baad aapko reply aa jayega.

WhatsApp Par LIC Policy Status Kaise Check Kare

Hum aapko lic policy status whatsapp par check karke bata rahe hain ke aap lic whatsapp services ka use kaise karenge.

Step 5. Policy Status check karne ke liye policy status ke samne 3 likhe 3 number ko message ki jagah type karke send kare.

LIC Policy Status

Step 6. Aub aapki all policies number ke sath aapko receive ho jayegi.aap jis policy ka status check karna chahte hai ushke samne likhe number ko niche message ki jagah type karke send kare.

Step 7. Kuch hi second me aapka policy status aapko received ho jayega.

Policyholder Name
Plan Name
Plan Number
Premium
Sum Assured
Policy Status
FUP


Step 8. Please select what you would like to do now ?
Niche aapko 2 options milnge "Main Menu" "End Conversation" services ka use karne ke liye Main Menu select kare Conversation band karne ke liye End Conversation select kare.

Note : LIC WhatsApp Services ka use karne ke liye policyholder ka lic customer portal me registered hona jaroori hai aur whatsapp number bhi lic me registered hona jaroori hai.

Toa friends aub aap sikh chuke hain ke lic whatsapp services kya hai aur kaise use karte hai,i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.ThankYou.

SBI Whatsapp Banking Services Registration

State bank of india ke SBI Whatsapp Banking Services Registration kaise karte hain.agar aap sbi account holder hain toa yeh post aapke liye helpful ho sakte hai kyunki  ish post me hum aaapko sbi whatsapp services ki full information de rahe hain.

SBI Whatsapp Banking Services Registration

SBI WhatsApp Banking Registration

state bank of india ke customers ke liye whatsapp banking ki facility sbi ki taraf se offer ki gyi hai.whatsapp banking services se sbi ke millions customers ko fayda mileaga.

SBI Whatsapp Banking Services

state bank of india service activate karke customers apna bank account balance,mini statement,check kar sakte hai.whatsapp banking activate karne ke baad customers apne sbi account se jude bahot sare kaam mobile phone par hi kar sakte hain.aiye aapko batate hain ke sbi whatsapp banking registration karke use kaise karte hai.

SBI WhatsApp Banking Registration Kaise Kare

Note : Whatsapp banking chalu karne ke liye aapke sbi bank account ke sath aapka mobile number link hona jaroori hai.

WhatsApp Status Download

Step 1 : State bank of india ke account ko whatsapp banking services ke sath register karne ke liye sabse pahle apne mobile ke massage box me niche diya massage ko type kare.

WAREG Account Number

EXAMPLE - WAREG 12345678901

Step 2 : Massage type karne ke baad (+91 7208933148) number par send kar de.

Step 3 : Massage successfully send hone ke baad aapko bank ki taraf ek registration ka confirmation massage receive hoga.

WhatsApp se Gas Booking


Step 4 : Aub apne mobile phone me whatsapp app open kare.

Step 5 : Whatsapp app me (+91 9022690226) number save karke chat open kare aur Hi type karke send kare.

Step 6 : Aub aapke pass 'Dear Customer,  Welcome to SBI WhatsApp Banking services!' massage ayega.aapke samne 3 options show honge.

No.1 : Account Balance

No 2 : Mini Statement

No 3 : De-register from WhatsApp Banking

Step 7 : Aub aap 3 options me se koi bhi 1 select kare.

Bank account balance check karne ke 1 type karke send kare.

Mini statement check karne ke liye 2 type karke send kare.

Service De-Register karne ke liye 3 type karke send kare.

Electricity Bill on WhatsApp

Abhi sbi whatsapp banking me kam option available hain but ho sakta hai ke kuch time ke baad ishme aur options ko add kar diya jaye.i hope yeh post aapke liye jaroor helpful rahi hogi.post ko apne friends ke sath share kare.Thankyou.

whatsapp status kaise download kare || whatsapp status video download

whatsapp status video download kaise kare.whatsapp status download kaise kare.how to download whatsapp status without third party app.agar aap bina kisi third party app ke whatsapp status ke video and photo download karna chahta ho toa aap bilkul sahi post read kar raha ho.aaj ish post me hum yehi sikhne bale hain.


whatsapp status download

whatsapp status download


whatsapp status feature facebook and Instagram story se milta julta hai.akshar humare whatsapp ke status me videos, fhotos,text status humein dilhai dete hain,whatsapp par show hone bala status 24hours tak rahta hai ushke baad bho automatic remove ho jata hai.

● whatsapp lpg gas booking

kai baar kisi status ka video humein bahot pasand ata hai toa kabhi kisi ka status me laga photo humain pasand ata hai,ase me humara dil karta hai ke kass hum ush photo ya video ko download karke apne mobile phone ki gallery me rakh lete.

Toa chaliye aapko batate ke aap apne whatsapp status ke video or photo download karke apni gallery me kaise rakh sakte hain.ishke aap niche bataye steps ko follow kare.

How to download whatsapp status in hindi


Step no 1 : sabse pahle aap jis photo ya video ko download karna chahte hai ushe open kare, agar status video hai toa ushe pura play hone de.

● Electricity bill download on whatsapp

Step no 2 : ishke baad app apne phone ke file maneger me jaye,har phone me file maneger inbuilt hota hai,agar aapke phone me nahi hai toa ushe download kar le.ishke baad file maneger open kare.

Step no 3 : open hone ke baad file maneger ki setting me jaye,yahan aapko show hidden files ka option show hoga,ish option ko on kar le.

Step no 4 : ishke baad file maneger ke internal storage me jaye,yahan aspko whatsapp folder find karna hai,ishe open kare,open hone ke baad aapko statuses folder show hoga,ishe open kare,yahan aapke play kiye huye sare status show hone lagenge.

● whatsapp status

Step no 5 : aub yahan se aap jis whatsapp status video or photo ko gallery me save karna chahte hai ushe copy kar le.ishke baad ishe internal storage me paste kar de.

Step no 6 : aub 24hours ke baad whatsapp status delete hone par bhi aapka save kiya hua status aapke phone me hi rahega.ishke baad ish video status photo ko kahin par bhi send kar sakte hai.file ke samne lage dot ko hata sakte hai,ish se yeh sabhi jagah visible hone lagega.

● whatsapp tips and tricks

Toa friend ish tarah se aap whatsapp status ko bahot hi asani se download kar sakte hai.i hope aapko humari yeh post jaroor pasand ayi hogi,agar pasand ayi hai toa ishe apne frends ke sath whatsapp and facebook par share kare,aur humain www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

Whatsapp se gas booking kaise kare || bharat gas booking on whatsapp || indane gas booking on whatsapp || hp gas booking on whatsapp

LPG Gas Booking on WhatsApp.Bharat Gas Cylinder Booking on WhatsApp.Indane Gas Cylinder Booking on whatsapp.HP Gas Cylinder Nooking on whatsapp.agar aap apne mobile phone se apne ghar ke lpg gas cylinder ko book karna chahte hai,toa aub aap asani se kar sakte hai.ishki puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

WhatsApp se HP LPG Gas Booking kaise kare. WhatsApp se Bharat Petroleum LPG Gas Booking kaise. WhatsApp se Indane LPG Gas Booking kaise kare.

LPG GAS

lpg ki full form hai Liquefied Petroleum Gas.lpg gas ek asi gas hai jishka sabse jayada use kiya jata hai.

Kuch time pahle tak LPG Gas ki booking karna thoda muskil hota tha.but aub esa nahi hai aub aap apne whatsapp se only one click se apne ghar ke lpg gas cylinder ki booking kar sakte hai.chahe aapke ghar me HP ka gas cylinder ho,Bharat ka ya fhir Indane ka gas cylinder ho.aap apne WhatsApp se inme se kisi bhi gas cylinder ki booking kar sakte hai.
WhatsApp se LPG GAS booking kaise karte hai,ishke liye niche bataye tarike ko follow kariye.

WhatsApp se HP Gas Booking kaise kare

No.1 : WhatsApp se HP Gas Book karne ke liye apne hp gas connection ke sath ragister mobile number bale whatsapp ke new contact bale option me jaye.

● Facebook secret tricks
● WhatsApp fingerprint lock

No.2 : Aub yahan Name bale option me koi bhi naam type kare.aap chahe toa HP likh sakte hai.

No.3 : Phone bale option me 9222201122 type karke upar SAVE par tab kare.

No.4 : Aub Massage +919222201122 par tab kare.aub aapke samne ishki WhatsApp chanting opne ho jayegi.

● WhatsApp secrets features
● Electricity bill on WhatsApp

No.5 : Aub niche Type a mess... me HP Gas Book likhkar bhej de.

No.6 : Aub dusari side se aapse pucha jayega ke kya aapko cylinder book karna hai.aap YES likhkar se send kar de.aapka HP gas cylinder book ho jayega.aur 2 to 3 days me aapke ghar par pahunch jayega.

WhatsApp se Indane Gas Booking kaise kare

No.7 : WhatsApp se indane Gas Book karne ke liye apne indane gas connection ke sath ragister mobile number bale whatsapp ke new contact bale option me jaye.

● YouTube tools for creators
● WhatsApp status

No.8 : Aub yahan Name bale option me koi bhi naam type kare.aap chahe toa Indane likh sakte hai.

No.9 : Phone bale option me 7588888824 type karke upar SAVE par tab kare.

No.10 : Aub Massage +917588888824 par tab kare.aub aapke samne ishki WhatsApp chanting opne ho jayegi.

No.11 : Aub niche Type a mess... me Refill likhkar bhej de.

● WhatsApp data
● LPG Gas Subsidy

No.12 : Aub dusari side se aapke pass ek request submitted ka massage ayega.aur fhir aapka order confirm ho jayega.agle massage me aapka Order Number Consumer Number Ref No. hoga.aur 2 to 3 days me aapka cylinder aapke ghar par pahunch jayega.

WhatsApp se Bharat Gas Booking kaise kare

No.13 : WhatsApp se Bharat Petroleum Gas Book karne ke liye apne bharat gas connection ke sath ragister mobile number bale whatsapp ke new contact bale option me jaye.

● Dangerous WhatsApp chat

No.14 : Aub yahan Name bale option me koi bhi naam type kare.aap chahe toa Bharat likh sakte hai.

No.15 : Phone bale option me 1800224344 type karke upar SAVE par tab kare.

● WhatsApp tips and tricks
● WhatsApp money transfer

No.16 : Aub Massage +911800224344 par tab kare.aub aapke samne ishki WhatsApp chanting opne ho jayegi.

No.17 : Aub niche Type a mess... me Hi likhkar bhej de.

No.18 : Aub dusari side se aapse cylinder book karne ke 1 type karke send karne ko kaha jayega.aap 1 type karke send kar de.aapki booking confirm ho jayegi.aapko next massage me aapka booking no. aur Consumer no. bhej diya jayega.
No.19 : Aur ek link bhi diya hoga jishpar click karke aap apni booking confirm kar sakte hai.aur online payment credit card/debit card/UPI/rupay card se kar sakte hai.

Toa friends aap ish tarah se apne whatsapp se LPG Gas Cylinder Booking ko kar sakte hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi,agar pasand ayi hai toa humain www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

WhatsApp Me Finger Print Lock Kaise Lagaye

Android phone me WhatsApp fingerprint lock kaise lagaye.aapka whatsapp aapke liye kitna important hai yeh hum samjh sakte hai,hum yeh bhi jante hai ke koi bhi nahi chahta ke unhke WhatsApp ko unki permission ke bina koi aur open karke dekh sake,ish liye aaj hum aapke liye ish post me whatsapp ke ek new feature ke bare me batane ja rahe hai,ish feature ko setup karke aap apne whatsapp messenger fingerprint locked laga sakte hai jishke baad koi bhi aapki permission ke bina aapke whatsapp messenger ko open nahi kar sakega.

Android phone me whatsapp fingerprint lock ka setup kare full guide step by step hindi me ish post me hai

WhatsApp top 10 secret settings | WhatsApp ke 10 best features

Aaj har kisi ke pass smartphone hai.aur har ek phone me Massaging app WhatsApp jaroor hoti hai.lekin 90% log WhatsApp ke sare features ke bare me nahi jante.ishliye aaj hum ish post me aapko WhatsApp ke 10 secret features ke bare me aapko bata rahe hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

whatsapp 10 secrets features tips and tricks in hindi,whatsapp top 10 magical settings ki jankari step by step hindi me,

WhatsApp

Aaj pure world me instant massaging app whatsapp ke laghbhag 150 karod active users hai.akele India me hi whatsapp ka lagbhag 20 karod log use karte hai.ek report ke hisab se whatsapp se lagbhag everyday 65 arab massage send kiye jate hai.jubki aapko bata de har ek minute 2.9 karod massage send aur receive kiya jata hai.pure world me everyday whatsapp se lagbhag 5.5 karod video call kiye jate hai.
Whatsapp ka itna jayada use hone ke baad bhi 90% log ishe puri tarah se use nahi karte.aur ishki bajah hai whatsapp me time-time par add hone bale new features ijo ki nme se bahot sare feature aapke kafhi kaam asakte hai unka fayada nahi utha pate.hum asi whatsapp ki 10 secret settings aapko niche bata rahe hai,jo aapko whatsapp use karte samay bahot kaam anebali hai.yeh 10 settings ko sikhne ke baad aap whatsapp ko smartly use kar payenge.


Whatsapp 10 secret settings

No.1 Status Settings

Status setting karne ke liye sabse pahle status me jaye,fhir uper right side me 3 dot par tab kare, status privacy par tab kare,aub yahan aapko 3 option milenge.

> My contacts - ish option ko select karne se aapke status un sare logon ko dikhai denge jinhe aapne apne contact me save kiya hai.

> My contacts except - ish option ko select karne se aap apne status ko kisi bhi save kiye contact se hide kar sakte hai.

> Only share with - ishe select karke aap apne status ko apne save kiye jin contact ke sath share karna chahte hai,unhe select karke share kar sakte hai.

● Laptop ko touch screen kaise banaye
● sbi bank me bina ATM card payment withdraw kaise kare

No.2 Hideing Blue Tick
Blue tick ki setting karne ke liye sabse pahle upar 3 dot par tab kare,fhir setting par tab kare,account par tab kare,privacy par tab kare,aub read receipts ke option ko untick kar de.

aap ishe untick karke massage dekhne ke baad dikhne bale blue tick ko chupa sakte hai.

Note : yadi aap ishe untick kar dete hai toa aapke samne bhi kisi ke massage dekhne ke baad blue tick show nahi hoga.

● Mobile charging solutions
● Mobile radiation check 

No.3 Customize Notification

Notification customize karne ke liye ush person ki chat ko open kare jishki notification customize karna chahte hai.upar ushke name ya number par tab kare.custom notifications par tab kare,use custom notifications par tick mark kare.

Aub aap apne hisab se notifications ko customize kar sakte hai.notification tone par tab karke aap har person ke ane bale massage ki tone ko alag-alag set kar sakte hai.ishi tarah call notifications par tab karke WhatsApp ki call ki tone ko bhi alag-alag set kar sakte hai.

● WhatsApp par electricity bill download kaise kare

No.4 Profile Photo And Last Seen Status
Profile photo and last seen status ki setting karne ke liye upar 3 dot par tab kare,fhir setting par tab kare,account par tab kare,privacy par tab kare,aub profile photo par tab kare yahan aapko 3 option milenge.

> Everyone - ish option ko select karne se aapki profile photo har kisi ko dikahi degi.

> My contacts - ish option ko select karne se aapki profile photo keval aapke save kiye contact ko hi dikhai degi.

> Nobody - ish option ko select karke aap apni profile photo ko hide kar sakte hai,fhir ushe koi nahi dekh sakega.

● Best youtube tools for creators

No.5 Stop Saving Media At Gallery

Stop saving media at gallery ki setting karne ke liye sabse pahle apne phone ki storage me jaye,internal storage par tab kare,WhatsApp me jaye,media par tab kare,whatsapp video par tab kare,fhir upar 3 dot par click karke rename kare,rename karke name ke samne ek (.) laga de.

Ishke baad aapke whatsapp par ane bale photo aur videos aub aapki phone ki galaxy me save nahi honge.

● Sim card Swapping kya hai

No.6 Resume Saving Media St Gallery

Resume saving media at gallery ki setting karne ke liye sabse pahle apne phone ki storage me jaye,internal storage par tab kare,WhatsApp me jaye,media par tab kare,whatsapp video par tab kare,fhir upar 3 dot par click karke rename kare,rename karke name ke samne lage (.) Ko remove kar de.

Ishke baad aapke whatsapp par ane bale photo aur videos aub aapki phone ki gallery me save home lagenge.

● YouTube Stories tab se paise kaise kamaye
● Online shopping karne ke 10 tips

No.7 Stop Auto Media Download

Stop auto media download setting karne ke liye upar 3 dot par tab kare,fhir setting par tab kare,data and storage usage oar tab kare,aub when using mobile data par tab kare.aub yahan sare option ko untick kar de.

In sab ko untick karne se aapke WhatsApp me ane bali kisi bhi chat ko aap data on hone par automatic download hone se rok sakte hai.

● Mobile phone secrets settings

No.8 Saving Status Of Others
Saving status of others ki setting karne ke liye sabse pahle status par tab kare,fhir aap jis status ko dekhna chahte hai ush status ko open kare.

Aub agar aap chahte hai ke yeh status aapko aapke phone me dikhai de toa apne phone ke file manager ko open kare, fhir internal storage par tab kare,WhatsApp par tab kare,fhir media me jaye,aub status par kare,aub aapko yahan par aapke sare status dikhai denge.aap jishe apne phone ki Gallery me save karna chahte hai,upar 3 dot par click karke kar sakte hai.

● Android mobile top 5 apps
● Bina internet website kaise chalaye

No.9 Massaging Anyone A Group
Massaging anyone a group ki setting karne ke liye sabse pahle kisi group ko opne kare,aub aap jis ek person ko massage karna chahte hai,ushke liye typing option me @ type kare,aub aapke sare group ke members ki list aapke samne ajayegi,aap jishe massage karna chahte hai ushe select kare aur massage bhej sakte hai.

Ish trick se bheja gya massage aapke group ke baki logon ke pass nahi jayega.

No.10 Setting Colourful Wallpaper

Colourful wallpaper set karne ke liye sabse pahle setting par tab kare,fhir chat option me jaye,aub wallpaper par tab kare,aub aapke samne kai options ajayenge wallpaper set karne ke,aap chahe toa apne phone ki gallery se photo select karke ushe as a wallpaper use kar sakte hai,ya background colour bhi set kar sakte hai.
Toa friend yeh thi WhatsApp ki top 10 magical tricks,i hope aub aap apne WhatsApp ko smartly use kar payenge,aub agar aapko yeh tricks pasand ayi hai,toa ish post ko apne friends ke sath  whatsapp,facebook, aur tweeter par share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

WhatsApp ki top 10 amazing tricks ke liye yeh video watch kare

Ishe bhi padiye : Lic premium calculate kaise kare

Electricity Bill WhatsApp par download kaise kare | electricity bill on WhatsApp

Online Electricity bill kaise download kare.ishke bare me toa aap jante hi honge.magar WhatsApp par bijli ka bill kaise download karte hai yeh aaj hum aapko ish post me batane bale hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak. 

WhatsApp par electricity bill download kare.bijli ka bill WhatsApp par kaise download kare puri jankari step by step hindi me

Agar baat kare ke Electricity bill download karne ki humain kab jaroorat padti hai.toa jub kabhi humare address par humara bijli ka bill sahi samay par nahi ata tab hamain ushe online download karna padta hai.jub humare pass koi second ghar hota hai aur ushe humane raint par kisi ko diya hota hai.aur humain ushki duplicate copy ki jaroorat padti hai tab bhi humain online hi download karna padta hai.kai baar hum ghar se bahar hote hai aur humain apne address proof ki jaroorat padti hai tab bhi humain online hi download karna padta hai bijli ka bill.

Electricity Bill Download Online

Online electricity bill download karne ke liye aapko apna account create karna padta hai.aur ushke baad aap apne kisi bhi month ke bill ka status check kar sakte hai.aap apne bill ki payment bhi online hi kar sakte hai.aur electricity bill download bhi kar sakte hai.magar ishke liye aapko account create karna ushka user name aur password create karna padta hai.aur ushe humesha yaad bhi rakhna padta hai.ishliye aaj hum aapko apne new electricity bill ko receive karne ka new tarika bata rahe hai.yani aub WhatsApp par bhi aap keval ek massage send karke apne new bill ki duplicate copy mangbaa sakte hai.aur ushe WhatsApp se hi apne phone me download bhi kar sakte hai.whatsapp par electricity bill download karne ki puri jankari niche di gyi hai.

● Phone me video Ringtone kaise lagaye
● Reliance jio ki 2 free services
● Sim card Swapping kya hai


How to download electricity bill on WhatsApp

WhatsApp par electricity bill download karne ke liye aapko apne WhatsApp se ek massage send karna hoga.aur massage send karte hi aapke WhatsApp par electricity bill ki duplicate copy send kar di jayegi.phir ushe aap ase hi download kar sakte hai jaise aap apne WhatsApp par aye videos ya photos ko download karte hai.toa chaliye jante hai ke aapko kis number par massage send karna hai.aur kya massage karna hai.

● YouTube Stories se paise kaise kamaye

● Google drive se WhatsApp data delete kaise kare

No.1
Aapko apne WhatsApp ke contact me 9999919123 ish number ko save karna hai.

No.2 Number save karne ke baad ish number ki chat open kar le.

No.3 Aub aapko ishme niche ek massage type karna hai.aur massage me #Bill likhkar space dena hai.ushke baad aapko apne bill ka 9 digit ka CA number type karna hai.

Example : #Bill 123456789

● WhatsApp tips and tricks

● Best 5 WhatsApp features 
● Top 10 WhatsApp tricks 

No.4
Massage type karne ke baad send kar de.kuch hi second me aapke WhatsApp par bijli ke bill ki copy send kar di jayegi.

No.5 Aub aap apna bill download kar sakte hai.

● WhatsApp money Transfer 
● WhatsApp, Facebook,Instagram par full size profile pic kaise lagaye

Note : Abhi WhatsApp par electricity bill download karne ki service keval South Dehli aur West Dehli me hi start ki gyi hai.lekin kuch dino ke baad ishe aur dushre rajyon me bhi start kar diya jayega.
Toa aub aap jaan chuke hai ke WhatsApp par electricity bill kaise download karte hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook, Twitter par share kare.aur humain humari kya kraen website par follow kare.Thankyou.

WhatsApp Status Video Merry Christmas Download | Christmas Videos and Status Download

WhatsApp status video.aap Facebook,WhatsApp,Tweeter ke liye merry Christmas free image,videos,status download karna chahte hai,toa aap yahan se kar sakte hai.aaj hum aapko ek app ke bare me batane bale hai, yeh app phone me install karke aap merry Christmas wishes ,2018,2019 ke status download aur share kar sakte hai.

Download WhatsApp, Facebook, Twitter Merry Christmas status and videos 2018,2019.Merry Christmas status video download in hindi.

Christmas Day : Christmas ka din har saal Happy New Year se pahle manaya jata hai.

Jesus God : Christmas day ko God Jesus Birthday ke roop me har saal ke last week me celebrate kiya jata hai.

● Aadhaar card me mobile number kaise add kare
● Mobile ke camera ka lance kaise clean kare

Merry Christmas: Christmas ke din ko pure world me Regional Holiday ke roop me bhi celebrate kiya jata hai.

Christmas Day Celebrations: Christmas ke din sab log milkar party karte hai. Church jakar prayers karte hai.

WhatsApp Status and Video For Merry Christmas



Pure world me log phone ke jariye Merry Christmas ke image, status, videos send karke ek dushre ko mubarakbaad dete hai.
Ishliye aaj hum aapko bhi ek android app ke bare me batane bale hai,jishe aap apne phone me install karke WhatsApp, Facebook,Tweeter ke liye image aur videos download aur share kar sakte hai.aap chahe toa yahan se Merry Christmas ke status copy bhi kar sakte hai.toa chaliye jante ke bho app kounsi hai.

● YouTube video viral kaise kare

Download Merry Christmas Videos And Status 



 Christmas status and videos 2018,2019.Merry Christmas status video download in hindi.
Merry Christmas

WhatsApp, Facebook ya Tweeter ke liye aap Christmas ke status, videos ya image download ya share karna chahte hai,toa sabse pahle aapko apne phone Happy Christmas Video and Status 2018 naam ki ek app ko install karna hoga.ish app ko download karne ke liye yahan par click kare =Merry Christmas status,image and videos download

WhatsApp Status For Merry Christmas



Download WhatsApp, Facebook, Twitter Merry Christmas status and videos 2018,2019. Christmas status video download in hindi.
Christmas Day Status

No.1 Merry Christmas Status : apko install karne ke baad aap status ke option par click kariye.yahan par sabse pahle aapko bahot sare Christmas ke status mil jayenge.inhe aap chahe toa direct share kar sakte hai.aur chahe toa copy karke unhe apni language me translate karke apne kisi bhi friends ko send kar sakte hai.

● Google drive se WhatsApp ka data delete kaise kare
● Mobile secrets settings

WhatsApp Image For Merry Christmas


No.2 Merry Christmas Image Download : Status ke baad aapko Christmas ke bahot hi beautiful images mil jayenge.jinhe aap direct WhatsApp ya Facebook ya kisi bhi platform par share kar sakte hai.aur yadi aap inhe apne phone me download karna chahte hai,toa download par click karke download bhi kar sakte hai.

● Latest WhatsApp tips and tricks
● Top 5 android apps tips and tricks
WhatsApp best 5 secrets features

WhatsApp Videos For Merry Christmas


No.3 Merry Christmas Video Download
: Ish app me aapko 3rd option me status aur image ke sath Christmas le wishes ke liye videos bhi mil jayenge.jinhe bhi aap chahe toa direct yahan par click karke dekh sakte hai, aur WhatsApp par share kar sakte hai.aur yadi aap kisi bhi video ko apne phone me download karna chahte hai,toa download par click karke Download bhi kar sakte hai.

Humari aur se bhi aapko Happy Christmas day, i hope friend aapko yeh article pasand aya hoga,pasand aya hai toa ishe apne friends aur family members ke sath WhatsApp,Facebook aur Twitter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye  : 

Reliance jio new update || jio phone me whatsapp kaise download kare

Hello friends,
Agar aapke pass bhi hai jio phone 1 ya jio phone 2.toa aapko bhi jaroor hoga jio phone me WhatsApp ke ane ka intzaar.toa aub aapka intzaar khatam ho gya hai.kyunki whatsapp ne jio phone me apna feature add kar diya hai.agar aap bhi jankari chahte hai ke whatsapp ko jio phone me kaise download hai,toa padte rahiye ish post ko akhir tak.

Jio phone ke 2 new update. Jio phone me whatsapp kaise download kare. Step by step hindi me.

Jaisa ke aap jante hi hai,jio ne aub tak apne 2 phone launch kiye hai.jio phone 1 au jio phone 2.aur inme pahle se hi aapko YouTube aur facebook jaise features mile huye hai.lekin abhi tak in phones me abhi whatsapp ka feature nahi tha.magar aub aap in dono phones me bhi WhatsApp ka anand utha sakte hai.
Yani aap jio ke 1500 rupay bale aur 2999 bale phone me bhi whatsapp chala sakte hai.bus aapko ishe in phones me download karna hoga.kaise download karna hai yeh puri jankari niche di gyi hai.

Mobile phone secret setting
Lic policy online kaise check kare
Bina internet website kaise open kare

(Jio phone me whatsapp kaise download kare)

Step.1 : Subse pahle aap apne jio phone ke data plan  ko check kar le.ke kahin aapka data khatam toa nahi ho gyahai.
Yani aap apne phone ke data ko on karke ushki janch kar le ke internet kaam kar raha hai ya nahi.
Agar nahi kar raha hai toa aap usme wifi se internet connect kar le.

Step.2 : Aub ishke baad aap apne phone ke menu par click kare.

Step.3 : Ushke baad aapko phone me jio store dikhai dega ushpar click kare.

Google search history
Computer keyboard shortcuts

Step.4 : Jio store me jane ke baad aapko yahan Facebook,YouTube aur bhi kai app dikhai dengi.

Step.5 : Aub yahan par thoda niche aapko whatsapp ka feature bhi dikhai dega.

Step.6 : Aub bus aapko WhatsApp par click karke ishe apne phone me install kar lena hai.

YouTube se paise kaise kamaye

Step.7 : Download hone ke baad aapse aapka phone number manga jayega .phone number daalkar apne WhatsApp app ko ragister kar le.

Step.8 : Aub aap apne jio ke phone me bhi whatsapp ko chala sakte hai.

I hope friend aub aap bhi ish post ko padne ke baad apne jio phone me WhatsApp ko install kar chuke honge.aub agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye = Phone Unlock Kaise Kare

whatsapp data google drive se delete kaise kare | How to delete a whatsapp data from google drive

Hello friends,
whatsapp par aap apni jaroori chats,videos,images ka backup google drive me save karke rakhte hai.ishliye ki agar aapka whatsapp kisi bajah se delete ho jaye,toa aap apni sari chats,photos aur videos ko bapis recover kar sake.lekin kai karno se aapko apna whatsapp ka liya hua data google drive se delete karna pad jata hai.toa ase me aapko jankari nahi hoti,ke kaise aapko apne mobile ya computer se whatsapp ka data google drive se delete karana hai.ishliye aaj ki ish post me hum aapko puri jankari step by step dene bale hai,ke kaise aap google drive se whatsapp ka data delete kar sakte hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak. 

Google se whatsapp ka data kaise off ya delete karte hai puri jankari step by step hindi me. WhatsApp backup data.


Abhi haal hi me logon ne google se location track kiye jane ki sikayat darj karbai.
Logon ka kahana tha ke unki location off hone ke baad bhi unki location ko track kiya gya hai.
Ish sikayat se data privacy ke mamale ne ek baar fhir se jor pakad liya hai.
Laghbhag 2willion log google ke operating system ke software ka use karte hai.
Jubki sekdon million iphone users map ya kisi bhi chij ko search karne ke liye google par hi bharosha karte hai.

Computer keyboard shortcuts
Google search history kya hai
Bina internet website kaise open kare 

Asi hi kai baton ko dyan me rakhte hue whatsapp ne haal hi me apni data policy me bada badlab kiya hai.
Ish badlab ke baad aub aap apnii sabhi chats ke sath-sath apni badi-badi media files bhi google drive me nahi rakh sakenge.
Ishka matlab aub whatsapp par aapke sabhi chats ,fhotos aur videos google account se google drive me sink ho jayenge.
Yeh sara ka sara data aapko aapke google drive me mile 15GB storage ke space me store hoga.

Mobile se Lic policy ki slip kaise download kare 
Android mobile secret coad 

Lekin yadi aap apne google drive ke space se whatsapp ke chats,photos aur videos ko delete karna chate hai,toa aap kuch simple se step ko follow karke delete kar sakte hai.
whatsapp ke data ko google drive se delete karne ke liye aap niche diye gye step ko carefully follow kare.

(How To Delete A WhatsApp Data From Google Drive In Hindi)

Step.1 = Google drive se whatsapp ke data ko delete karne ke liye aapko sabe pahle apne google drive me jana hoga.
Google drive me jane ke liye aap yahan par click kare =https://drive.google.com

Step.2 = google drive me jane ke baad ishe apne ush gmail account se login kare jishse aapne whatsapp ka backup liya tha.

Step.3 = agar aap apne smartphone par ish url ko use kar rahe hai,toa "Desktop Version " ko select kar le.

Step.4 = aub aap upar right side me dikh rahe "gear icon" par click kare.

Google se whatsapp ka data kaise off ya delete karte hai puri jankari step by step hindi me. WhatsApp backup data.

Step.5 = aub aapko yahan par setting ko opne karna hai,"setting" opne karne ke baad "Manage Apps" par click kare.

Step.6 = aub "whatsapp " par jane ke liye thoda niche scroll kare.

Aadhar card ki jankari lock aur unlock kaise kare 
Gas cylinder ki subsidy kaise check kare 

Step.7 = yahan aapko "whatsapp Massenger" dikhai dega.

Step.8 = whatsapp massenger ke samne "options " par click kare.

Google se whatsapp ka data kaise off ya delete karte hai puri jankari step by step hindi me. WhatsApp backup data.

Step.9 = options par click karne ke baad aapko 2 option dikhai denge, Delete backup aur Turn off backup.

Refrigerator ki kharabi kaise check kare 
Mobile phone hai bimariyon ka ghar
Facebook fake account ki report kaise kare 

Step.10 = aub aap yahan se backup ko off bhi kar sakte hai. Ya fhir delete backup par click karke delete kar sakte hai.

Toa aub aap sikh chuke hai,ke whatsapp ko google drive se kaise delete karte hai.agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare. Aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye = YouTube se paise kaise kamaye

WhatsApp Ki Ase Chat Ko Ignore Mat Karna || Whatsapp Viral news in hindi

Hello friends,
Aaj ki ish post me hum baat karne bale hai,WhatsApp par ane bale ase massage ki jisko ignore karna kisi ko bhi bhari pad sakta hai.agar aap jankari chahte hai ase massage ki toa padte rahiye ish post ko akhir tak.

Agar whatsapp par aapke pass bhi aya hai esa koi massage toa ignore mat kariye nahi toa bhari pad sakta hai. WhatsApp viral news in hindi

Friend hum WhatsApp se related pahle bhi kai tips and tricks ki post likh chuke hai.agar aapne bho sari post nahi padi hai,toa aap yahan par click karke whatsapp se rrelated sari post pad sakte hai = WhatsApp Tips And Tricks

Agar aap bhi WhatsApp ke regular user hai,aur whatsapp ka use karte hai.toa aapko thoda sabdhaan ho jana chahiye. Kyunki WhatsApp par aajkal ek massage viral ho raha hai.jishke bare me mana ja raha hai,ke bho ek tarah ka virus hai.aur bho aapke Mobile phone ko crash kar deta hai.

WhatsApp secret features
WhatsApp 10 tips and tricks
WhatsApp se money transfer kaise kare 
Mobile ka naam aur icon kaise change kare
Mobile par kisi bhi sahar ko live kaise dekhe

Yeh massage kabhi bhi kisi ke bhi phone par bhej diya jata hai.agar aap me se kisi ke pass bhi yeh massage aya hai,toa aapko bhulkar bhi ush massage par click nahi karna hai.hum niche ish massage ke bare me batane bale hai.

WhatsApp par jo massage bheja jata hai,ush massage me "me aapke  WhatsApp  thodi derr ke liye hang kar sakta hu" likha hota hai.aur ish massage ke niche ek link bhi hota hai.ush link par "Don't tuch hear" likha hota hai.

Aur kai tarah ke massage me "me aapke phone ko hang kar sakta hu" likha hota hai.
aur niche bahi link diya hota hai.

Mobile se paise kaise kamaye
Internet se paise kaise kamaye
Amazon se paise kaise kamaye

Toa friends aap me se kisi ke pass bhi ish tarah ka koi massage ata hai,aur ush me koi link diya hota hai,toa aap ush link par click mat kariye.kyunki ishse aapka phone hang ho jata hai.aur aapka WhatsApp  application crack ho jata hai.aub yeh bhi ho sakte hai,ke yeh koi virus ho,aur ish massage ke jariye aapke phone ya WhatsApp ko hack karne ki kosis ki ja rahi ho.

5 amazing websites 
Blog,Blogger,Blogging kya hai
Bina internet website kaise open kare 

Note : humare phone me humari bahot sari important jankariyan hoti hai.ishliye har tarah ki safety ka humain khyal rakhna chahiye.

Toa yeh thi WhatsApp ki ek viral news,umeed karte hai ke aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends aur family members ke sath share kariye.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kariye.Thankyou.
WhatsApp viral massage ki puri jankari ke liye aap yeh video jaroor dekhiye =
 

Ishe bhi padiye = Google Search History in hindi

WhatsApp Tips And Tricks In Hindi || Whatsapp Top 5 New Features

Hello friends,
Duniya bhar me WhatsApp ke 1.5 arab monthly users hai,jishme 20 crore se jayada monthly active users india ke hi hai.WhatsApp ke 1.5 arab users ek din me karib 60 arab massage ek dusare ko bhejte hai.facebook ne 19 February 2014 ko 19 arab dollar me WhatsApp ko apne andhar samil kar liya tha.

2018 me launch huye whatsapp ke top 5 features ke bare me hum aapko ish post me batane bale hai.WhatsApp me new features add huye hai .puri jankari hindi me

har din WhatsApp ko ishtemal karne bale log whatsapp ke new new features ki khoj karte rahte hai.ishliye aaj hum aapke liye laye hai whatsapp ke 5 new features.yeh tips and tricks aapke WhatsApp ke use karne ke tarike ko aur bhi smart bana denge.toa chaliye jante hai,whatsapp ke new features ke bare me.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

Mobile tips and tricks 
Mobile se delete huye photo aur videos wapis kaise laye 
Mobile me kya save nahi karna chahiye 
Mobile app kaise banaye 
WhatsApp se money transfer kaise kare 

Feature.1 > Whatsapp Lock Kare


Friend aap apne WhatsApp ko lock karke bhi rakh sakte hai.

Ios par WhatsApp ko lock karne ka koi khaas app nahi hai.

Magar aap yadi android phone par whatsapp use karte hai,toa aapke pass whatsapp ko lock karne ke kai sare option hai.

Inme se ek option toa aapko WhatsApp ki setting me hi mil jata hai.ish se aap ek pin ko create kar sakte hai.

WhatsApp me pin create karne ke liye aapko apne whatsapp ki settings me jana hoga.ishke baad account par click kariye. Yahan aapko tow-step verification ka option dikhai dega,ushpar click karke aap ek new pin generate kare sakte hai.

WhatsApp ko lock karne ke liya aap massenger and chat block ,applock ya smart lock jaise app ka bhi ishtemal kar sakta hai.

Inme se kuch app toa aapke whatsapp me aapki marji ke bina tak jhak karne balon ki fhoto tak khich lete hai.taki aap jaan sake ki aapki jasoosi koun kar raha hai.

Agar aap Windows phone par whatsapp use karte hai,toa aap WhatsApp locker try kar sakte hai.

Agar aap black berry ke phone par whatsapp use karte hai,toa aap lock for WhatsApp massenger try kar sakte hai.

Lic policy ka status kaise check kare 
YouTube se paise kaise kamay 
Adsense Account Kaise banaye

Feature.2 > Camera Roll Me WhatsApp Image Ane Se Roke


Koi nahi chahega ke WhatsApp par ane bali sabhi pictures gallery me dikhai de.

Ios me ishko rokne ka bahot hi aasan tarika hai.bus aapko setting me jana hai,privacy par click kare ,aub Fhotos par jaye aur whatsapp ko off kar de.

Agar aap android phone par WhatsApp chalate hai.toa aapko ES file explorer app ko apne mobile phone me install karna hoga.

ES explorer app ko install karne ke baad, decord par jaye,fhir whatsapp par click kare,fhir media par jaye fhir left side me niche se jo bhi folder aap share nahi karna chahte hai,ushpar new option tab kar de.aur no media file create lar de.ishke baad aalki pictures aub gallery me dekhai nahi dengi.

Mobile app ka naam aur icon kaise change kare
Tez app se paise kaise kamaye
Mobile se paise kaise kamaye

Feature.3 > Aapka Massage Kab Pda Gya


Yeh toa aap pahle bhi jaan hi pate tha blue tick ko dekhkar,ki aapne jisko massage bheja hai ushane bho massage pda hai ya nahi.

Magar aub aap agject yeh bhi jaan sake hai,ke aapke bheje gye massage ko kis time par pda gya.

Pde gye massage ka time janne ke liye aapko ush massage par tyap karke hold karna hoga.jish massage ka aap time janna chahte hai.ushke baad info par click kariye.

Info par click karte hi aapko pta chal jayega ki bho massage kab pda gya hai.

Agar aap ios par WhatsApp ko use kar rahe hai,toa bhi aapko massage ko tayp karna hai,aur fhir left side me drag kare ,toa aap jaan jayenge ke aapka massage egject kab pda gya hai.

Computer ko tv ka monitor kaise banaye
Mobile battery backup badane ke 10 tips
Kisi bhi sahar ko mobile par love kaise dekhe

Feature.4 > Delete Huye Massage Wapis Kaise Laye


WhatsApp roj subah 4 baje aapke sare massage ka backup create karta hai.

Kisi bhi delete huye photo ko wapis lane ka sabse best tarika hai,ke aap apne WhatsApp ko uninstall karke dobara install kare.

Ish prosses ko karne se aapse backup ko restore karne ko kaha jayega.yeh pichle 7 din ko kavar karega.

Agar aap android par aur bhi purani chat ko restore karna chahte hai,toa aapko apne phone me ES explorer app ko install karna hoga.

Sd card,WhatsApp ,database par jakar apne backup dekhe.jo file aap restore karna chate hai,ushka naam badle aur setting me jaye,apps par jaye aur whatsapp cleardata par jakar ushe start kare aur promt kiye jane par restore kare.

Yeh tricks keval android phone ke liye hai.agar koi chats hai jinpar aapko har din jana hi hota hai,toa ushka shortcut apne home screen par create karke aap directly unpar pahonch sakte hai.esa karne se aapka jafi time bachega.

Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banaye
Bina internet app download kaise kare 
Mobile heat kyun hota hai 

Feature.5 > Whatsapp Location Share Kare


WhatsApp par haal hi me aya hai yeh latest feature. WhatsApp ne launch kiya hai,WhatsApp location share feature.

Ish feature ki help se aap apna live location apne contact ke sath share kar sakte hai.

Maan lijiye ke aap kahin ja rahe hai,aur apna live location share karte hai.toa aapka movement aapka bho contact aapke destination par pahunchne tak dekh sakega.

Toa friends yeh thea 5 WhatsApp ke latest features jinke bare me humne aapko Jankari di.agar aapka inse related koi swal ho,toa aap niche diye gye comment box me likh sakte hai. Aur agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.thankyou.

WhatsApp Secret Features || Whatsapp ke 5 features in hindi

Hello friends,
WhatsApp  par har din takriban 60 billion massage yahan se bahan bheje jate hai.har samay WhatsApp ke users WhatsApp par massage bhejne ke new new features ki talash karte hi rahte hai. Ishliye aaj ish post me hum aapko batane ja rahe hai, haal hi me launch hue 5 secret feature ke bare me.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

WhatsApp Se Money Transfer Kaise Kare,1 ghante ke baad massage delete kaise kare,WhatsApp ke secret 5 features ki jankari hindi me.

(WhatsApp Ke Bare Me)

WhatsApp duniya bhar me sabse jayada use kiye jane bali application hai.
Duniya bhar me whatsapp ke 1.5 arab monthly users hai,jishme 20 crore se jayada monthly active users india ke hi hai.WhatsApp ke 1.5 arab users ek din me karib 60 arab massage ek dusare ko bhejte hai.facebook ne 19 February 2014 ko 19 arab dollar me WhatsApp ko apne andhar samil kar liya tha.

Bese toa WhatsApp par har din laghbhag 60 billion se bhi jayada massage bheje jate hai.lekin pure saal me sabse jayada massage happy new year ke din bheje jate hai,laghbhag 75 billion.

Mobile se delete huye photo aur videos ko wapis kaise laye
Mobile se paise kaise kamaye
Mobile par live kisi bhi shahar ko dekhe

WhatsApp ki har din bhadti popularity ko dekhte huye,company lagataar new new updates lati rahti hai.haal hi me whatsapp ne kuch new features update kiye hai.jinke bare me kafi logo ko abhi tak kuch bhi pata nahi hai.ase hi 5 secret aur kamaal ke new features ke bare me hum aapko niche batane ja rahe hai.

Ase hi 10 top ke tips aur tricks ke bare me humane aapko humari pichali post me bataya tha,agar aapne bho nahi padi hai, toa aap yahan par click karke ushe bhi pad sakte hai = WhatsApp 10 tips and tricks

(Whatsapp 5 Secret Features Hindi Me)

No.1 = Fhotos Aur Videos Me Stickers Add Kare

Agar aap kisi ko WhatsApp par fhoto ya fhir video bhej rahe hai, toa aub fhoto ya video ko sand karne se pahle aap chahe toa ushme ek khubsoorat sa sticker bhi add kar sakte hai.

Sticker add karne ke liye aap sabse pahle ush fhoto ya video ko select kar le.ushke baad aap upar ki taraf dekhenge toa aapko sticker ka icon dikhai dega.ush par click karte hi aapke samne kai sare stickers show ho jayege,aap jishko chahe ush fhoto ya video me add kar sakte hai.sabhi stickers free hai.

Facebook fake account kaise report kare
Mobile me save na kare yeh chijen 
Mobile app kaise banaye

No.2 = Whatsapp Se Money Transfer Kare


WhatsApp par kuch dino me sabse jayada jish feature ki baat ho rahi hai,bho hai upi payment ka feature .abhi yeh sarvice sabhi ke liye suroo nahi ki gyi hai.lekin WhatsApp ne ishe bita users ke liye suroo kar diya hai.WhatsApp par upi payment ki madad se kisi ne agar kisi se paise liye hai.toa bho upi se whatsapp par hi un paison ko wapis kar sakta hai.

WhatsApp par aap jisko paise bhejana chate hai.sabse pahle ushki chat me jaye.ushke baad massage type karne ki jagah ke right side me bane icon par click kare.click karte hi aapke samne ek box open hoga,jishme aapko payment ka option dikhai dega,ushpar click karke aap upi se paise sand kar sakte hai.
Note : agar payment ka feature dikhai na de,toa apni app ko update kar le.

WhatsApp se money transfer kaise kare 
YouTube se paise kaise kamay 

No.3 = Massage delete kare 1 Ghante Baad Bhi


WhatsApp par kai baar aap galti se kisi massage ko kisi aur ki bajaye kisi aur ko bhej dete hai.fhir aap sochte hai ke ushe aap wapis mangba le.toa whatsapp ne kuch samay pahle hi whatsapp par bheje gye massage ko delete karne ka feature add kiya tha.jishme aap bheje gye massage ko 7 minute tak delete kar sakte thae.lekin aub ushe update karke 1hours tak kar diya hai.yani aub aap WhatsApp par bheje gye massage ko 1 ghante ke baad bhi wapis mangba sakte hai.

WhatsApp par bheje gye massage ko delete karne ke liye, sabse pahle ush massage ko select kariye, jishe aap wapis mangbana chate hai. Fhir kuch second ushpar touch karke rakhe.aur upar delete ke option ko select kar le,ushke baad "delete for everyone" par click karke ushe delete kar de.

Lic ka status kaise check kare 
Google adsense account kaise banaye

No.4 = Whatsapp Par Hi Play Kare YouTube Videos

Pahle WhatsApp par aap kisi ko YouTube ka video sand karte the.toa ush video ko play karne ke liye YouTube ki app par le jaya jata tha.jishki bhajah se aapka whatsapp ka app close ho jata tha.magar aub YouTube ke videos ko aap whatsapp par hi play kar sakte hai.

Aub jub bhi aap apne kisi friends ko YouTube ke video ko share karke bhejenge,aur aapka friend ush video par click karega,toa bho video WhatsApp par hi play ho jayega.jish se ushki whatsapp ki app bhi close nahi hogi.

Mobile app ka naam aur icon change kaise kare 
Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banaye

No.5 = Online Hai Ya Nahi


Halanki ish feature ke bare me kafi logo ko pata hoga,magar jinko nahi pata unke liye yeh feature kafi kaam ka hai.WhatsApp par bus ek setting ko karke aap asani se yeh chupa sakte hai,ke aap last time kub whatsapp par online huye thae.

WhatsApp par apna online status chupane ke liye,sabse pahle aapko setting me jana hoga,fhir ushke baad privacy par click kariye,aub last seen ke option par click kar de.

Toa ab aap jaan chuke hai,WhatsApp ke 5 secret features ke bare me,agar aapke pass bhi kisi aur feature ki jankari ho,toa aap humain niche diye gye comment box me likh kar bata sakte hai,aur agar post pasand ayi ho toa,ishe apne friends aur family members ke sath share kariye,aur humain humari www.kyakraen.com Website par follow kariye.Thankyou.
WhatsApp se money transfer kaise kare,yeh puri jankari ke liye aap yeh video jaroor dekhiye =

Ishe bhi padiye = 5 amazing websites

Older Posts Home

Translate

Blog Archive