Mobile Me kabhi Bhi Yeh Save Na kare || Dont Save These Things In Your Mobile

Hello friends,
Aaj duniya bhar me har insan ke pass ek smart phone hai.kuch mobile phone ke new users ko yeh pata hi hota ke mobile phone me kya save karke rakhna chahiye aur kya nahi.ishliye aaj ki ish post me hum kuch jaroori jankari dene ja rahe hai.ke mobile kya jaroori chijon ko save nahi karke rakhna chahiye.

Apne mobile phone me kabhi bhi bhoolkar in chijon ko save karke na rakhe.puri jankari hindi me ish post me di gyi hai
Kuch mobile phone ke new users ko yeh jankari nahi hoti.ke mobile phone ke jitne fayede hai.utane hi nuksaan bhi hai.
Akshar bho log apni subidha ke liye apne mobile phone me kuch asi jaroori chijon ko save kar lete hai.jinka kisi aur ke hath lagana un mobile users par bhari pad sakta hai.
Ishliye jub bhi kisi chij ko apne mobile me save kare toa ek baar soch samjh le ke kahin ush chij ka koi nuksaan toa nahi hai.

Mobile app se paise kaise kamaye
Mobile app ka naam aur icon change kaise kare
Google tez se paise kaise kamaye
Mobile se paise kaise kamaye
Hybrid sim slot bale mobile phone me 2 sim ke sath micro sd card kaise lagaye

Ishliye un new mobile users ko hum ish post me kuch jaroori jankari dene ja rahe hai. Taki bho apne mobile phone me in chijon ko save karke rakhne se pahle yeh samajh le ke kahin un chijon ka koi nuksaan toa nahi hai.
Puri Jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

Yeh post aapke aur aapke apno ke liye helpful ho sakti hai. Agar aap ishe unke sath share kare.

YouTube ka url kaise change kare
5 kamaal ki website
Mobile heat kyun hota hai
Blog,Blogger,Blogging kya hai
Internet se paise kaise kamaye

(Don't Save These Things In Your Mobile phone)

Note : 1 = Dabit Aur Credit Card


Apne mobile phone me kabhi bhi bhoolkar in chijon ko save karke na rakhe.puri jankari hindi me ish post me di gyi hai

Kai baar anjane me log apne mobile phone me kuch ase jaroori cards ko save karke rakh lete hai. Jo kbhi bhi unke liye bahot bada nuksaan karba sakte hai.

Jaise ki debit card aur credits card ke photo ko khinch kar apne mobile phone me rakh lete hai.
Aub dono side ki photo hone ke karan photo me expiry date,cvv number,aur naam jaisi jaroori jankari dikhai deti rahti hai.aub in sub jankari ki madad se koi bhi aapke debit ya credit cards ka missuse kar sakta hai.kyunki kisi ke bhi debit ya credit cards se paise nikalne ke liye jo bhi jaroori chijoen chahiye hoti hai.bho ushe aapke mobile me save ki gyi photos se mil jati hai.

Toa Agar aap bhi apne mobile phone me debit card ya credit cards ki photos rakhte hai.toa abhi unhe delete kar de.

Amazon se paise kaise kamaye
Email id kaise banaye

Note : 2 = Parsnol Photos

Kisi bhi tarah ke photo click karke apne mobile phone rakhne ke liye aap ajad hai.koi aapko kisi bhi tarah ke photos khinchne se rok nahi sakta.

Lekin apne mobile phone me kabhi bhi apne intimate seen bale photos save karke na rakhe.
Kai baar log apne life partner ya girlfriend ke sath bitaye private pal ke photos click kar lete hai.aur unhe apne mobile phone me save karke rakh lete hai.yadi aapka mobile aapke ghar me ya bahar kisi children ke hath lag jaye aur aapke mobile me net on hone par bho photo galti se social side par sand ya share ho jaye toa aap soch sakte hai. Ke aap kitni badi muskil me pad jayenge.

Toa agar aapke mobile phone me aapke kisi bhi tarah ke intimate seen bale photos hai.toa unhe abhi apne mobile phone se remov kar de.

Facebook account kaise banaye
Google account kaise banaye

No : 3 =Porsnol Number

Kai baar log apna Aadhar Card number,pan card number ya bank account number apni subidha ke liye apne mobile phone me save karke rakhte hai.unka yeh manana hot hai ,ke jaroorat padne par unhe bho unke mobile me hi mil jayega.

Lekin in numbers ko apne mobile phone me rakhne se aapko bahot badi problems ka samna karna pad sakta hai.kabhi bhi in numbers ko apne mobile me save karne ki galti na kare.

Aapke aadhar card aur pan aur bank account number ka koi bhi fargi documents ke liye ishtemal kar sakta hai.
Aapke document ke jariye koi kisi badi ghatna ko anjam de sakta hai.aur documents aapke naam par hone ki bajah se aapko ush paresani ka bhuktan bhuktana pad sakta hai.

Toa agar aap bhi apne mobile phone me aadhar card ,Pan number ya bank account numar rakhte hai.toa aaj se rakhna chod de.
Listen to pm modi speech
YouTube par multiple channel kaise banaye

Note : 4 = Password

Aajkal har kisi ke pass bahot sare password hote hai.jaise email ka password net banking ,online shopping ka ya fhir kisi aps ka ya aur bhi kai chijon ka.aub itni tarah ke password hone ke karan unhe yaad karke rakhna bhi muskil hota hai.lekin ish muskil ka hall yeh nahi hai,ke aap unhe apne mobile phone me save karke rakh le.

Agar kabhi aapka mobile phone chori ho jaye.toa ish technology ka koi bhi thodi si internet ki jankari rakhne bala dushara insaan fayeda utha sakta hai.kuch hi seconds me aapke jeevan bhar ki kamai ko aapke bank se nikal kar ushe khali kar sakta hai.

Ishliye agar aap bhi inme se kisi koi bhi password apne mobile phone me rakhte hai.toa humari rai hai ke unhe apne mobile phone se abhi remove kar de.
Yeh thi kuch jaroori jankari humare flowers ke liye.agar aapke pass aur bhi kuch asi jankari ho toa humain niche diye gye comment box me likh kar bataye.aur agar post pasand ayi ho,toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kariye.Thankyou.

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive