Blog,Blogger,Blogging kya hai

hello friend,
blog,blogger, blogging,agar aap jankari chate hain k blog kya hota hai,aur blog se paise kaise kamay jate hai,toa padte rahiye ish post ko.

Blog banakar paise kaise kamay jate hai janiye ish post mae


aaj hum ish post mae baat karenge k blog kya hota hai.
aur blog se paise kaise kamay jate hai.

(Blog kya hai in hindi)

blog ka matlab hae ek trah ki personal website.
jispar aap kisi bhi ek bisay par ya fhir alag alag bisyon par article likh sakte hai.

agar aap kisi bisay main ruchi rakhte hain,ya aapko kisi topic ki bahut achi knowledge hai toa aap apni jankari ko puri duniya tak blog k madyam se badi hi asani se pahuncha sakte hai.
aap apna blog kisi bhi topic par likh sakte hai.

jaise fashion, junral knowledge,cooking, news, comedy,tutorials, since and technology, ityadi.

blog kya hota hai,agar mae short cut mae kahun toa aap yeh maankar chaliye k blog ek book ki trah hai.

(Blog,blogger, blogging kya hai in hindi)

Internet se paise kaise kamay

Amazon se paise kaise kamay

aap apni ek site banakar jo bhi likhenge bho blog kahlata hai.
jo site par article likh raha hota hai bho blogger kahlata hai.

aur site par jub koi bhi article likh rahe hote hain,toa bho blogging kahalata hai.

aapke blog mae likhe hua post video,photo, ya text k roop mae ho sakte hai.

(Blog khahan se banay)

asi bahut si websites hain jinki madad se aap bilkul free blog bana sakte hai, bho bhi life time k liye.

kuch platform k naam niche diye hain jinpar jakar aap apni ek website bana sakte hai.

     1: Blogger
     2: WordPress
     3: Tumble
     4: Jekyll
     5: Svbtle
     6: Weebly
     7: Livejournal
     8: Medium
     9: Contentful
     10: Postach.io
     11: Ghost
     12: Pen.io

aajkal subse jayda blog k liye istemaal hone bali site Blogger.com ya WordPress.com hi hai.

ye dono hi site bilkul free mae aapko life time k liye blog banane ki anumati deti hain.

bus 1 minute mae hi aap in dono site par apna ek blog bana sakte hai,aur agle hi minute mae blogging start kar sakte hain.

(Blog banane k liye kya chahiye)

     requirements:-
     1: Computer ya laptop
     2: Email account
     3: Internet connection

Email account kaise banay

aap blog ko apne android mobile phone par bhi bana sakte hai, lekin mobile phone par blog mae hone bali bahut si setting ko kar pana muskil hai.

isliye aapke pass blog ki puri setting karne k liye computer ya laptop ka hona bahut jaroori hai.

jisse ki aap apne blog ko ache se customize kar sake.

blog create karne k liye aapke pass ek email account hona bhi jaroori hai.

(Blog se paise kaise kama sakte hai?)

aaj k samay mae blog banakar log har mahine lakhon rupay kama rahe hain.

lekin esa bilkul nahi hai k aaj aapne apna blog banaya aur kal se aapki income hone lag padegi.

paisa kamane k liye har jagah mahnat karni padti hai.

chahe bho blog se bahar ki duniya mae karni pade chahe blog mae magar har jagah mahnat karni padti hai.

aur jo log jeevan mae prishram karte hain unhe uska fhall jaroor milta hai.

(Blog par kya na Karen)

agar blog se paise kamana chate hain toa yeh kaam kabhi na Karen.

Note 1: blog banakar uspar apne khud k likhe hua content ko hi dale,kisi k content ko kbhi bhi copy na kre.

Note 2: kisi ki website se images download kar apne blog par na dale.

Note 3: apne blog par sex se related content na dale.

Note 4: kisi bhi galat davai k bare mae content na dale.

Note 5: kisi dusari website k music aur video ko apne blog par upload na kre.

Google account kaise banate hai

YouTube channel kaise banate hai

Facebook account kaise banate hai

(Blog se paise kaise kamay in hindi)

jaisa ki maine bataya blog banakar log aajkal har mahine lakhon rupay kama rahe hain.

aap bhi jaroor kama sakte hai.
blog banakr aap ushpar 20 se 30 ache se ache content bali post likhiye.
apne blog par sare jaroori page jaise contact us,sitemap,about us,pages banaiye.

apne blog ka search engine optimization (SEO) kariye.
apne blog ko Google aur bing k search console (webmaster tools) mae submit kariye.

aur apne blog par 1,000 se 2,000 tak  daily ka traffic laiye.

uske baad  apne blog ko Google AdSense k liye apply kariye.

Google AdSense ki teem aapke blog ko review karegi agar unko sub kuch thik laga toa aapke blog ko AdSense ki ads k liye approved kar degi.

fhir aap apne blog par Google AdSense ki ads laga sakte hai.

jub koi aapki post ko padd raha hoga toa bho ads show hongi.

aur unpar hone bale har click k aapko paise milenge.

aap apni blog par hone bali income ko live apne Google AdSense k account par jakar kabhi bhi dekh sakte hai.

toa yeh thi friend blog se judi jankari asha karta hoon k aapko yeh post pasand ayi hogi, agar pasand ayi hae toa ish post ko apne Friend's k sath share kariye,aur kyakraen.com ko follow kariye.ThankYou.

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive