Online Shopping Kaise Kare 10 Tips Hindi Me

Hello friends,
Amazon India, Flipkart, Paytm,Snapdeal par festival offers ki har years bharmar rahti hai.jaise hi festivals ka samay ata hai,baise hi yeh sari websites lubhane offers lekar ajati hai.aur kuch logon ko puri jankari na hone ki bajah se bho yahan se shopping karke nukshan utha lete hai.ishliye aaj ki ish post me hum aapko 10 online  shopping karne ke tips hindi me bata rahe hai,jinko dyan me rakhkar yadi aap shopping karte hai,toa aapko kabhi kisi nuksan ka samna nahi karna padega.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.


10 Tips Online shopping. Amazon India, Flipkart, Paytm, Snapdeal se shopping karne se pahle jaan le yeh 10 jaroori batein nahi hoga koi nukshaan.online Shopping Tips in hindi


(Online Shopping Ka Sach)

Jaise hi festivals start hote hai,baise hi Amazon, Flipkart, Paytm, Snapdeal jaisi websites par sale start ho jati hai.in alag-alag website par kai tarah ke Attrectuve offers start ho jate hai.aur sabse badi khaas baat yeh hai ke hum sab ko bhi kafhi samay se in sare offers ka intzaar rahta hai.lekin in sab ka sach toa kuch aur hi hai.kyunki yahan par aapko jo bataya jata hai aur jo dikhya jata hai un sab baton aur chijon me kafhi farak hota hai.

● Bina internet phone me live tv kaise dekhe 
● Bank ka Ragister mobile number online Change kaise kare 

Jaise ki kai website par phone ke price ko jayada likhkar dikhya jata hai.aur fhir ushi phone par kafhi badi chooth dene ka dava kiya jata hai.jubki reality kuch aur hi hoti hai.kyunki ushpar koi chooth mil hi nahi rahi hoti hai.

Kai cash ase bhi samne achuke hai,jub kisi ne in website se koi product magbaya aur festivals ki bhagdoad me inhone ushe paise lekar kuch aur hi packet bhej diya.

● Kya phone hai bimariyon ka ghar

Toa aiye jante hai,aajki ish post me ke Online shopping karte samay humain kin-kin baton ka khyal rakhna chahiye,aur kin baton par bharosha karna chahiye aur kin par nahi.yadi aap niche batai gyi on 10 baton ka khyal rakhte hai,toa aapko in website se shopping karne par kisi tarah ke nukshaan se hone bali paresani ka samna nahi karna padega.

Tips No.1 : Website ka URL aur Lock Check Kar Le

Bina https aur lock bali site par jakar aap kabhi bhi shopping na kare.https upar site ke address ke start me hota hai.jish bhi website par aap shopping kar rahe hai aur payment karne bale hai,ush website ka url jaroor dekh le aur yeh bhi dekh le ki ushme lock ka nishaan laga hai ya nahi.jo bhi website security ke hishaab se pakki hogi ushpar https ka url jaroor hoga .aur kai log froud karne ke liye ek farzi website create karke products sale karne lag jate hai,unke url me http hota hai https nahi.ase log log bankon ki nakal karke apni ek farzi website bana lete hai.jishke bare me aapko jaroor pata hona chahiye.toa next time aap jub bhi online shopping kare toa payment karne se pahle in baton ka khyal jaroor rakhe.

● LPG Gas ki subsidy kaise check kare 
● Mobile phone secrets settings 
● Bina internet website open kaise kare 

Tips No.2 : Company ki Website se Specification ki Nankari Le

Jub bhi aap online kisi website par mobile  phone kharidane jaye,toa ush phone ke features ke bare me ush company ki website par jakar jankari hasil jaroor kar le.kyunki kai baar e-commerce website par phone ke bare me kafhi kuch jankari galat likhi hoti hai.bahan par kai features phone me likhe hote hai,aur jub aap ushe kharid lete hai,toa aapko pata chalta hai ke ushme bho Feature toa hai hi nahi.aur fhir aapko paresani ka samna karna padta hai.ishliye phone ko online khridane se pahle ushke bare me ushki website par check jaroor kare.

Tips No.3 : Price Ki Jankari Le

Kisi bhi Online sale me ya fhir ase hi online khariddari karne se pahle ush product ke price ke bare me alag-alag website's par check jaroor kar le.kyunki kai website ush product ki real price se bhadkar price dikhati hai.aur fhir aapse kahti hai,ke 50% discount aapko de rahi hai.ishliye jub bhi aap online shopping karne ki soch rahe ho toa product ke bare me kai website par search jaroor kar le.

● Lic Policy ki receipt kaise download kare

Tips No.4 : Review aur Rating Dekh Le

Agar aap yeh sochte hai,ke aap Amazon ya Flipkart jaisi badi website se phone kharidate hai,toa aapko bata de ki itana hi kafhi nahi hai.kyunki yeh badi-badi company bhi adhikarik seller nahi hai.ishliye jubbhi aap kisi phone ko kharide toa yeh jaroor pata kare ke ushe bechane bala koun hai.aur ush phone ke bare me logon ne kya-kya review diye hai.review se phone ka sara sach samne ajata hai.ishliye phone ka review aur ushki ratting jaroor dekh le.

Tips No.5 : Warranty Dekh Le

Kisi bhi phone ko Online kharidane se pahle ushki warranty jaroor dekh le.aur sath hi ush phone ke sath milne bali ushki accessories ki warranty bhi check kar le.aur ishke sath hi yeh bhi jaroor check kare ki ushki terms and conditions kya hai.in sari sari chijon ko dyan me rakh kar hi phone ko le.

● Kisi bhi mobile me face lock kaise lagaye

Tips No.6 : Offers Dekh Le

Ek hi website par ek hi samaan ke sath kai sare bankon se milkar offers diye jate hai.ishliye kuch bhi online kharidane se pahle jaroor dekh le.taki aapke kisi bank ke sath kisi product ka koi offer ho toa aap ushka fayada utha sake.

Tips No.7 : Exchange Offers Dekh Le

Agar aap koi product kharidane ja rahe hai,aur jish company ka bho product hai,ushi company ka aapke ghar me bhi koi bahi product purana pada hai,toa aap exchange offer me ushe dekar kuch paise new product me kam karba sakte hai.ishliye jub asp Online koi product kharidane bale ho toa ushka exchange offer jaroor dekh le.

● Computer keyboard shortcuts
● WhatsApp Tips and tricks 
Mobile app kaise banaye

Tips No.8 : Refund aur Return Dekh Le

Kisi bhi product ko khridne se pahle ushki terms and conditions ko ek baar jaroor pad le.kyunki product me koi kami ya kharabi ane ke baad ushe return karne keliye kai company 30days ka aur kai 10days ka time rakhti hai.ishliye bho pahle hi yeh likh kar rakhti hai,unhe jaroor pad le taki aapko kisi kharab product ke sath compromise na karna pade.

Tips No.9 : Phone Refurbished Toa Nahi Check Kar Le

Kai e-commerce  company refurbished phone yani ki second  hand phone bhi bechane lagi hai.ishliye jub bhi aap koi phone kharide toa ish baat ka khayal rakhe ke bho phone refurbished toa nahi hai.baise aapko bata de ki phone agar refurbished hoga toa ushki jankari bahan par di gyi hogi.ishliye phone online kharidate samay jaroor dekh le.

● YouTube se paise kaise kamaye 
● App se paise kaise kamaye 
● Internet se paise kaise kamaye 

Tips No.10 : Product Ki Unboxing Ka Video Record Kar Le

Festival ke samay me asi e-commerce company ke upar kafhi load ajata hai.ish bajah se kai cash ase bhi samne achuke hai,jub kisi ne ek phone book kiya aur payment kar di.lekkn delivery ke baad jub box ko khola toa ushme se phone ki jagah koi stone ya kuch aur hi nikal gya.aur fhir yeh company api galti ko nahi manti.ya fhir aapse proof manga jata hai.ishliye jub bhi aapko koi product ko apne ghar par open kare toa ushka apne kisi bhi camera se ek Unboxing karte huye video jaroor bana le.taki koi galat chij nikal jane par aapke pass ushka proof ho.

Toa friends yadi aap Online shopping karte samay in 10 Tips ko dhayan me rakhte hai,toa aap apne aap kisi tarah ki paresani se kafhi had tak bacha sakte hai.
i hope aapko yeh jankari jaroor pasand ayi hogi,agar ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook share kare aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou. 

Ishe bhi padiye: Bina Debit,Credit card online shopping kaise kare

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive