Hum ish post me aapko life insurance corporation of india ke LIC Jeevan Utsav Plan Details de rahe hai.agar aap lic ki new insurance policy buy karne ki soch rahe hain toa yeh post aapke liye hi hai.aap ishe pura last tak jaroor paden.
LIC Jeevan Utsav Plan Details in Hindi
lic ne apna jeevan utsav plan 29 november 2023 ko launch kiya hai.lic jeevan utsav ka plan no.871 hai and unique identification number 512N363V01 hai.
LIC Jeevan Utsav Plan Kya Hai ?
lic jeevan utsav ek non-linked,non-participating,individual,savings,life insurance scheme hai.
● yeh policy ek non-linked plan hai.yeh plan share market se connected nahi hai.
● yeh plan savings ke sath protection bhi provide karata hai.
● yeh ek individual saving life insurance plan hai.
● yeh ek non-participating plan hai.policy holder ki policy complete hone par ishme koi bhi bonus nahi diya jayega.
LIC Jeevan Utsav Benefits
● lic jeevan utsav plan me 18years se lekar 100years tak ke liye lifetime guaranteed income milti hai.
● ish plan me policyholder apni need ke according regular income benifit or fexi income benifit ka option select kar sakta hai.
● ish policy me all benifits ki guarantee starting me hi de di jayegi.
● ish plan me premium payment term tak 40 rupay par 1,000 rupees rate ki percentage se guaranteed additional milega.
● ish plan me every years 5.5% ki attractive investment rate par income ko defer and accumulate karne ka option and compounded annually bhi hai.
lic jeevan labh 936 plan details
● ish plan me aap benifit ke income se 6 months pahle income benifit ka type change kar sakte hain.
● ish policy me premium payment ka option only 5years se 16years tak hi hai.
● yeh policy 90days children se lekar 65years old person ke liye li ja sakti hai.
● ish policy me 2years ke baad loan lene ki facility bhi milti hai.
● ish scheme me maturity benifit available nahi hai.
LIC Jeevan Utsav Premium
Jeevan utsav policy ki premium paying term whole life policy terms ke liye 5years se 16years hai.
Basic sum assured 5,00,000 rupees and above in 25,000 and 1,00,000 ke multiple me.
lic bima jyoti 860 plan details
Premium Payment Method - Annual,Semi-Annual,Quarterly and Monthly
LIC Jeevan Utsav Criteria
lic jeevan utsav policy ki alag-alag premium paying term ke liye minimum entry age and maximum entry age niche table me di gye hai.
www.kyakraen.com |
Premium Paying Term - 5 to 16 years
Minimum & Maximum Age at Entry - Minimum 90 days (completed)
Maximum 65 years (nearer birthday)
Minimum Premium Ceasing Age - 75 years (nearest birthday)
Minimum Age For Start Of Income Benefit - 18 years (completed)
Basic Sum Assured - Minimum Rs 5,00,000 maximum no limit
Note : Entry ke time minimum age ko chodkar insured person ke entry ke time age ko birthday ke nearest ki age ke roop me liya jayega.
Policy Risk : Yadi insured person ki entry ki age 8 years se kam hai toa ish scheme me risk policy start hone ki date sr 2 years ya policy ke birthday ke sath ya 8 years ki age received ke baad jo bhi first ho ush se start hoga.
Death Benefits : Policy lene or risk start hone ki date ke baad yadi insured person ki death ho jati hai toa accrued guaranteed ke sath death par insurance payment ke barabar death benifit pay kar diya jayega.
Death benifit death ki date tak pay kiye gye total premium ka 105% se kam nahi hoga.
lic jeevan utsav policy me riders available hain jinke liye aapko extra premium pay karna hoga.
● Accidental Death and Disability Benefit Rider Available
● LIC Accident Benifit Rider Available
● New Critical Illness Benefit Rider Available
● Premium Waiver Benifit Rider
Toa friend yeh thi lic jeevan utsav 871 policy ki details,i hope aapko yeh information jaroor pasand aye hogi,yadi aye hai toa post ko apne friends ke sath share jaroor karen.Thank You.
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links