LIC Bima Jyoti Plan 860 in hindi

Ish post me hum LIC of India ki ek best endowment policy ke bare me details ke sath janenge.ish policy ka naam hai lic bima jyoti plan no.860.

LIC Bima Jyoti Plan 860

LIC Bima Jyoti Table no.860

LIC of India ne 22 February 2021 ko ek new policy launch ki aur ishka name rakha lic bima jyoti table no.860.

LIC ki yeh policy financial security ensure karti hai.

Aiye jante hain lic bima jyoti ke puri details hindi me.

LIC Bima Jyoti details in hindi

LIC bima jyoti ek guaranteed bonus,limited premium payment endowment scheme hai.

LIC ke ish plan me aapko kitna bonus milega yeh lic of india ne pahle se hi final kiya hai.

LIC Dhan Sanchya Plan

LIC bima jyoti policy me aapko ₹50 per ₹1,000 bima rashi par guaranteed bonus milega.

LIC bima jyoti policy 860 me policyholder ko policy term se 5 year premium kam jama karna hota hai.

Sabse badi baat yeh hai ke dushre profit smoothly policy ke pura hone tak chalte rahenge.

LIC Bima Jyoti 860 in Rebate

Ish policy me 2 discount diye gye hain.

LIC Jeevan Lakshya Plan

First mode rebate hai aur second sum assured rebate hai.

Mode Rebate : Selected premium payment mode ke aadhar par diya gya discount.

High Sum Assured Rebate : sum assured ka matlab policy value hoti hai.

LIC Bima Jyoti 860 Benefits 

LIC Bima Jyoti Maturity Benefit = Sum insured + guaranteed bonus

LIC Bima Jyoti Death Benefit = Sum insured ka 125% + guaranteed bonus

LIC Bima Jyoti Surrender Facility : Policy premium ke kam se kam 2 full years ke payment ke 2 years after surrender ki ja sakti hai.

LIC Bima Jyoti Paid-Up Value : Jab lic bima jyoti policy 860 me minimum 2 years aur jayda years ka premium payment kiya jata hai aur policyholder next ke premium ka payment karna band kar deta hai toa automatically payment kiye gye price ke anusaar policy paid-up ke liye eligible ho jati hai.

LIC Bima Jyoti Death Claim Details : Policy term ke samay death ke case me (20 years se pahle) nominee ko sum assured ka 125% + bonus (general life cover) pay kiya jayega.

LIC Dhan Rekha Plan

Casualty death case me sum assured ka 125% + bonus (Accidental Life Cover) ke sath sum assured ke barabar extra money ki payment nominee ko ki jayegi.

LIC Bima Jyoti Loan Facility : Ish plan me 2 years premium pay karne ke baad ish policy par loan lene ki facility di gye hai.

LIC Bima Jyoti Revival : Policy ko last premium se 5 years pahle revived kiya jana chahiye.

LIC Bima Jyoti Riders Facility : Casualty aur disability benifit riders , critical illness , premium waiver rider aur term rider benifit ke options available hai.

LIC Bima Jyoti Policy Cooling off Period : Policy buy karne ke baad policyholder ko policy pasand nahi ati hai toa 15 days me policy return kar sakta hai.

I hope aapko lic bima jyoti policy ke yeh jankari jaroor pasand aye hogi,pasand aye hai toa ish post ko share kare.Thankyou.


0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive