LIC Jeevan Lakshya 933 | lic jeevan lakshya 933 full details in hindi

lic jeevan lakshya 933 full details in hindi.lic jeevan lakshya policy life insurance corporation of india ki best policies me se ek hai.ish pllicy ko lic kanyaadan policy ke naam se bhi jana jata hai.aaj ish post me hum ishke pure features and benefits details ke sath check karenge hindi me.


lic jeevan lakshya 933

LIC Jeevan Lakshya Plan :


1 February 2020 se pahle ish plan ka table no.833 tha baad me badal kar ishka table no.933 kar diya gya.

Jaisa ki ish policy ke naam se pata chalta hai ke yeh aapke jeevan ke lakshya ko pura karne me aapki help karegi.

LIC Jeevan Lakshya Plan 933 Full Details in hindi


Yeh policy ek non-linked scheme hai.
Non-linked ka sidha sa matlab hai ke yeh policy share market se nahi judi hai.

Premium Facility :


lic ka yeh plan policyholders ko saving and security dono ki facility deta hai.

lic dhan rekha 863


Yeh ek limited premium payment bali scheme bhi hai.
Limited premium scheme ka matlab hai ke policyholder ko select ki gyi timing se 3years kam time tak premium pay karna hoga

Bonus :


Yeh ek with profit plan hai.
Ish plan me life insurance of india apne policyholders ko bonus ke roop me apna profile provide karati hai.

Death Benefits :

Ish plan ko buy karne ke baad yadi policy holder ke sath koi anhoni ho jati hai toa ushke ane bale sare premium maaf kar diye jate hai.

lic status check online

Ishke alaba insurance money ka 10% every year nominee ko milta rahta hai.

Jab policy ki maturity hoti hai tab maturity ka paisa bhi available hota hai.

Loan Facility :

Ish policy ka premium 2years bharne ke bhi baad loan ki facility milti hai.

Ish policy par loan yeh dekh kar diya jata hai ke policyholder ne premium kitne time tak jama kita hai.

Yadi policy inforce hai toa policy ki surrender value ka 90% loan policyholder ko mil sakta hai.

lic premium payment online

lic jeevan lakshya policy me paid-up policy ke liye loan 80% surrender value ka available hota hai.

Entry Age Limit :

Ish plan ko buy karne ke liye minimum age 18years honi chahiye.

Aur maximum age 50years honi chahiye.

Maturity Age Limit :

Maturity ki maximum age limit 65years hai.

lic receipt download online

Ishka sidha sa matlab yeh ke ish plan ko buy karne ke liye aapki age itni honi chahiye ke 65years ki age me policy ki maturity ho jaye.

Policy Time Limit :

Ish policy ki minimum time limit 13years hai.

Aur agar ish policy ki maximum time limit ki baar karen toa 25years hai.

Premium Payment Limit :

Aub ish policy ki time limit 3year kam hai.
Ishliye ishka sidha sa matlab yeh ke yadi kisi ki policy 13years ki hai toa ushe 10years tak premium pay karna hoga.

Sum Assured :

Ishka minimum sum assured rs 1,00,000 hai.

Aur maximum sum assured ki koi limit nahi hai.

Revival Limit :

Agar ishke ke baat karen toa revival ki time limit 5years hai.

lic premium calculator

Aub yadi aapko nahi pata ke revival kya hota hai,toa aapko bata de ke revival ka sidha sa matlab yeh hota ke aapne policy buy ki aur kuch years tak premium payment kiya aur fhir premium payment karna band kar diya, aub esi policy ko aap dobara chalu kitne time tak kar sakte hai ush time ko ya years ko hi revival time ya years kahte hai.

Tax Benefits :

Ishke liya pay kiya gye premium par income tax act 80C ke tahat puri tarah discount milta hai,yani aapko ishke liya koi tax pay karne ki jaroorat nahi hai.

Ish policy me death benefits ka paisa bhi income tax act 10 (10D) ke tahat puri tarah maaf hota hai.

lic costumer portal login

LIC ke ish plan ki aur jayada jankari ke liya aap licindia.in par visit kar sakte hai.

I hope friend aapko aajki humari yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ish post ko share jaroor kare.Thankyou.

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive