YouTube and TikTok || tiktok or youtube me kaun best hai

YouTube vs TikTok. which is better youtube or tiktok.tik tok kya hai.youtube kya hai.tik tok aur youtube me kaun sa best platform hai.agar aap bhi confused hai youtube aur tik tok ko lekar ki kaun best hai aur aapko kish platform par work karna chahiye,toa ish post ko akhir tak padiye aapko jawaw mil jayega.

YouTube aur TikTok me kaun better hai aapko youtube se earning karni chahiye ya tiktok se

YouTube Vs TikTok in hindi

Aajkal youtube or tik tok ke users me ek dushare se agye nikalne ki ek ajeeb si hoad lagi hui hai.tik tok ke users ka kahna hai ke tik tok best platform hai.youtube ke users ka kahna hai ke youtube best platform hai.aur kuch log ase bhi hai jo youtube aur tiktok dono par hi regular work karte hai unka manana hai ki dono apni jagah par best hai.
Agar aap bhi in dono me se kisi ek par work karne ki soch rahe hai,ya fhir aap pahle se hi in dono me se kisi ek ke user hai,aur aap confuse hai ke aap jish platform ke user hai bho dushare se best hai ya dushra aapke platform se best hai.aur aapko kis platform par work karna chahiye.

● Mobile camera photography tips

Toa ish confusion ko door karne ke liye aapko one by one dono platform ki kuch khaas baton ki jankari hona bahot jaroori.ishke baad aap right design kar sakenge ke best kaun hai.

Which is better Tik Tok or YouTube ?

YouTube kya hai ?

youtube America ki ek videos watch karne bali website hai.aap youtube par dushron ke video dekhne ke alaba khud bhi video upload kar sakte hai.

Tik Tok kya hai ?

Tik Tok ek Short Video App hai.tiktok aapko ios and Android dono hi platform par mil jayegi.aap tiktok app ka use karke Funny Videos, Dance Videos, Entertainment Videos watch kar sakte hai.aur youtube ki hi tarah aap tik tok par bhi videos watch karne ke sath sath khud videos upload kar sakte hai.

● Aarogya setu app
● YouTube Stories se paise kaise kamaye

YouTube Ki Facility ?


YouTube apne ragister members ko videos upload karne,videos watch karne,videos share karne,videos like karne,videos par comment karne,videos ki report karne,aur dushre youtube channels ki membership lene ki facility available karata hai.

Tik Tok Ki Facility ?

TikTok ek tarah ka short form videos sharing app hai.tiktok par ragister user kisi bhi topic par 15 second bale videos upload karke apni fan following bana sakta hai.

● How to track lost mobile
● YouTube videos viral kaise kare

YouTube Kisne Banaya ?


Youtube pepal ke 3 workers ne 2005 me banaya tha.baad me ishe google ne November 2006 ko $1.65 billion american dollars me buy kar liya tha.

Tik Tok Kisne Banaya ?

Tik Tok ek China ki company ka hai.tiktok ka pahle name musical.ly tha.lekin August 2018 ko jab ishe rebrand kiya gya ushke baad ishka name aur pahchaan Tik Tok ho gya.

● 10 Mobile battery tips

YouTube Videos Kaise Banaye ?


YouTube par aapko copyright ka khyal rakhna hota hai.youtube ki copyright guidelines ke hishab se aapko apne khud ke banaye content bale videos upload karne ki ijajat hi di jati hai.aapko music and voice bhi apna hi use karna hota hai.

Tik Tok Videos Kaise Banaye ?

TikTok par youtube ki tarah koi music ya voice apna use karke videos banane ki jaroorat nahi hoti.aap 15 second ka koi bhi video bana kar ushme Top Hits Music Soundtrack Free use kar sakte hai.

● Mobile fast charging solutions

YouTube Se Paise Kaise Kamaye ?


YouTube par video upload karke aap earning bhi kar sakte hai.youtube par earning karne ke liye aapko khud ke create kiye huye videos hi apne channel par upload karne hote hai.jab aapke videos par views ane start ho jate hai,tab aapko google adsense ki website par jakar apna account create karke ushe approved karana hota hai.ushke baad aapke youtube channel ke videos par ads ane start ho jate hai.ish tarah se aapki earning hone lag jati hai.

Tik Tok Se Paise Kaise Kamaye ?

TikTok se bhi earning ki ja sakti hai.jis tiktok user ki fan following jayada hoti hai bho Sponsorship Brand Deal se income karte hai.agar aapke tiktok par 1 lakh followers ho jate hai toa aap laghbhag 20 se 30 thousand rupees monthly asani se earn kar sakte hai.

● Download electricity bill on WhatsApp

YouTube Account Kaise Banaye ?


Youtube par account banana bahot hi asan hai.youtube account banane ke liye aapke pass ek email id hona chahiye.aapko youtube.com ki website par jakar apni email id se login karna hai.aapka account ban jayega.

● YouTube best creators tools


Tik Tok Account Kaise Banaye ?

TikTok par account banana bhi bahot asan hai.aapko apne smartphone me tiktok app ko install karna hota hai.aur apne google account se login karna hai.apna user name password create karna hai aur aapka tiktok account ban jayega.
Agar aap hum se puche ke Tik Tok or YouTube me kaun best hai toa humara jawaw hoga,ke dono hi apni jagah par best hai.ish post ko padne ke baad i hope ke aapka bhi confusion kafhi had tak door ho gya hoga.aub agar aapko post pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.


2 comments:

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive