YouTube k har video par subscribe button kaise legate hai

Aaj hum ish post mein step by step  jankari lenge k youtube k har video par subscribe button kese legate hain.

YouTube channel k har video mae channel ko subscribe karne k liye subscribe button kaise lagate hain puri jankari step by step


YouTube ka use

Aap jante hi honge k youtube video upload karke logon tak video k jariye apni jankari pahunchane k kaam ata hae.

Youtube video upload

Agar aap apna koi video banate hain aur video ko logon tak pahunchana chate hain ya video k jariye logon ko koi jankari dena chate hai,toa youtube ek better jagah hae.

Youtube account

YouTube par jaiye aur apni Gmail id se login kariye aur apna ek youtube account baniye.
Agar apke pass email id nahi hae toa pahle ek email id banaiye.
Email account banane k liye yahan par click kariye=Gmail par email id kese banate hai

YouTube account banane k baad aap apna koi bhi video youtube par upload kariye.

Video upload karne k baad apko jaroorat hoti hae k apke youtube video ko koi bhi dekh kar sidhe hi ush video se apke youtube account ko subscribe kar sake.

Kyonki jab koi apke youtube account ko subscribe kar lega toa jab bhi aap koi youtube par video upload karoge toa unhe us video ki sidhe hi jankari mil jayegi.

Ish post mein hum yahi jankari lenge k youtube k har video par subscribe button kese legate hain.
Toa chaliye jante hain k youtube k har video par subscribe button kese legate hain.

Youtube k har video par subscribe button kese legate hain.

Sabse pahle aap www.youtube.com par jaiye aur apne Gmail account se login kariye.

(1) = login karne k baad aap dekhenge k left side mein youtube in ki back side mein ek menu hae.
Menu par click kariye aur down aiye fhir my chanle par click kariye.

(2) = M
y chanle par click karne k baad aap agle step par pauhnch janenge.
Ab aap upar image mein dekhiye video manager hae uspar click kariye.

(3)=video manager k baad aap agle page par ajaenge.
Ab down aiye aur chanel par click kariye.

(4)=Channel par click karne k baad aap niche branding ka option hae.
Branding par click kariye.

(5)=branding par click karne k baad aap dekhiye k add a watermark ka option hae.

Ab add a watermark par click kariye.

Add a watermark par click karne k baad ek pop-up page khulega.

(6)= pop-up page mein aap choose file par click kariye.
Aur apne pc ya mobile se ek image select kariye.
Image ko upload hone den.

(7)=image upload hone k baad save kar dijiye.

(8)=save karne k baad ab aap dekhiye k apka image jo apne subscribe button par lagaya hae bho upar lag chuka hae.

(9)=ab aap display time set kariye k apko apne video par image video k start main dikhana hae video k bich mein dikhana hae ya video k last mein dikhana hae.
(10)=start time set kariye k kitni der video par image ko dikhana hae.

(11)=update kar dijiye.
Ab apke har video par subscribe button lag chuka hae,ab apki bari hae humein batane ki k apko yeh post kesi lagi,aur humare youtube chanel ko subscribe jaroor kariye,ish post ko share kariye,aur like kariye,aur humein follow kariye.ThankYou.

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive